Sheer'khaar bach'che ka peshaab paak karne ka tariqa - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, April 11, 2022

Sheer'khaar bach'che ka peshaab paak karne ka tariqa

Sawaal az : mohtaram janaab Abrar Hussain sb (Patna)


Salamun alaikum wrwb
Agha mai Abrar Hussain azimabad patna se sawal karta hu.


Mera sawal hai ke sheerkhar bacha ka peshab ko paak karne ka kya tariqa hai ?


Bache ko baahri ghiza dene ki umr kya hai ?
aur baahri ghiza me sabse pehle usey kon si ghiza deni chahiye ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar peshaab ki tahaarat se moraad peshaab waali jagah ko paak karne ka tariqa hai to paani se sirf aek martaba dhona kaafi hai albatta aehteyaate mustahab ye hai ke aabe qalil (jaise lote waghairah ka paani) se 2 martaba dho'aen


agar moraad sheer'khaar bach'cha / bach'chi ke peshaab se najis hone waali chizon ke paak karne ka tariqa hai to is ka jawaab ye hai :


agar kisi chiz par aise sheer'khaar bach'che / bach'chi ka peshaab lag jaa'ae jo abhi khaana nahi khaate hain to ous par sirf aek hi martaba is tarah paani daalen ke saari najis jagah par paani pahunch jaa'ae, wo chiz paak ho jaa'ae gi lekin aehteyaate mustahab ye hai ke 2 martaba paani daalen


agar kapde, chaadar, bistar aur farsh ya is ke maanind chizon par lag jaa'ae to paani daalne ke baad nichodna (نچوڑنا) zaruri nahi hai


(ba motaabiq fatwa Aayatullah Sistaani wa Naasir Makaarim Shiraazi)


Dusra sawaal mustaqil wa alag hai lehaaza ous ka jawaab baad me diya jaae ga انشاءالله


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran


9 / رمضان المبارک / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen