Sawaal az : mohtaram janaab Rashid Ali sb (Delhi)
Mera sawal hai ki kya ham mobile se quran padh sakte hain ?
agar ham padh sakte hain to kya ehtemaam se padh sakte hain please btaiyega
agar ham job par hain aur baithe baithe quran padhna chahte hain to kaise padh sakte hain ?
Main delhi se hu
Mera nam rashid hai
Regards,
Rashid ali | Alirashi...@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
ji mobile aur tablet se qur'aan majid padh sakte hain ba sharte ke software motabar ho aur qur'aan ki ketaabat par itminaan bhi ho albatta mas'haf (qur'aan kareem ka nuskha) me dekh kar padhna afzal hai
aehtemaam ke ta'alluq se arz kar dun ke aadaabe telaawat ki reaayat karen masalan baa'wozu padhen to behtar hai
waazeh rahe ke agar mobile ... ki screen par qur'aan karim khula huaa ho to screen ko beghair wozu ke chhu sakte hain, chhune ke liae wozu zaruri nahi hoga
office waghairah me baith kar hatta jute pahne qur'aan majid padh sakte hain albatta is shart ke saath ke telaawat karne me be adabi na ho
Ahlebait (عليهم السلام) ki sunnat aur sirat se maalum hota hai ke qur'aan padhna faqat aek haalat par mauquf nahi tha lehaaza khade, baith kar aur chalte phirte padh sakte hain
qur'aan padhna namaaz padhne ke moshaabeh hai, fard wa aadmi ke haalaat, jism ki haalat aur zamaano makaan ... ke taqaazon se waa'basta hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / رمضان المبارک / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment