Sawaal az : mohtaram janaab Abrar Hussain sb (Patna)
Salamun alaikum wrwb
Agha mai Abrar Hussain azimabad patna se sawal karta hu.
Mera sawal hai ke sheerkhar bacha ka peshab ko paak karne ka kya tariqa hai ?
Bache ko baahri ghiza dene ki umr kya hai ?
aur baahri ghiza me sabse pehle usey kon si ghiza deni chahiye ?
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم
Pahle ye bata dun ke islaami taalimaat aur rewaayaat ke motaabiq maa ka dudh sheer'khaar bach'chon ke liae sab se behtarin gheza wa khoraak hai
Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ka irshaade geraami hai :
" مَا مِن لَبَنٍ يَرضَعُ بهِ الصَّبِيُّ أعظَمُ بَرَكَةً عَلَيهِ مِن لَبَنِ اُمِّهِ "
"koei bhi dudh bach'che ko pilaane ke liae ous ki maa ke dudh se bahot badi barkat waala nahin"
(foru'ae kaafi jild 6 page 40 - ketaabul aqiqah baabur reza = رضاع hadis 1)
Dudh pilaana maa aur bach'chon (donon) ki sehat ke liae mofid hai
aur maa ke liae fazilat wa aebaadat bhi hai, rewaayat ke motaabiq dudh pilaane waali maa ous mojaahid ki tarah hai jo raahe khoda me jehaad kare (yaani ouse raahe khoda me mojaahid ka ajro sawaab mile ga)
aur sheer'khaar ke har martabah chhaati chusne par aek bandah aazaad karne ke baraabar sawaab mile ga
mustahab hai ke bach'cha / bach'chi ko 21 mahine mokammal (yaani 1 saal 9 mahine) dudh pilaa'ae aur 2 saal ke baad maa ka dudh pilaana shaa'eista wa behtar nahi hai lehaaza chhoda (چھڑا) dena chaahiae
Bach'che ko pahli gheza kab deni chaahiae ?
Welaadat ke baad ibtedaaei 6 mahine sirf aur sirf maa ka dudh piae albatta mustahab hai dudh pilaane ke pahle khoda ka naam le kar Khaak-e-Shefa ya Aab-e-Foraat chataa'aen
Imaam Saadiq (علیه السلام) ka irshaade geraami hai :
" حَنِّكوا أولادَكُم بِتُربَةِ الحُسَينِ عليه السلام ؛ فَإِنَّها أمانٌ "
"apni aulaad ke munh ke andar taalu par Khaak-e-Shefa malo keyon ke ye kaam amaan hai (bach'cha buraa'eion ... se mahfuz rahe ga)"
(tahzibul ahkaam jild 6 safha 74 - hadis No 143)
Imaam Saadiq (علیه السلام) ne farmaaya :
" حَنِّكُوا أَوْلَادَكُمْ بِمَاءِ الْفُرَاتِ ... "
"apni aulaad ke taalu par Aab-e-Foraat malo ..."
(wasaaelush'shia jild 15 safha 138)
Khaak-e-Shefa aur Aab-e-Foraat bit'tartib afzal hai albatta agar khaak-e-shefa ya Aab-e-Foraat moyas'sar na ho to Aab-e-Baaraan ya khurma ya shahad ya mitha paani malen
Bach'che ko saatwen mahine me di jaane waali gheza :
- mokhtasar firni
- baadaam ka patla harirah
- namak wa masaale ke be'ghair narm soup (taiy'yaar shudah az : gaa'ae ya bakra ya murgh ka gosht aur gaajar, aalu, hara dhaniya, macaroni, chaawal aur mokhtasar tel ya makh'khan)
Aathwen mahine me di jaane waali gheza :
- murghi ke ande ki khub paki huei zardi masal kar
- roti
- phalon ka qudrati (natural) juice
- dahi
- dudh me ouble huae kadu ya gaajar ya aalu ko masal kar khilaa'aen
- soup (saatwen mahine me diae jaane waale soup me khadi masur aur maash ki daal shaamil kar den)
Nawen aur daswen mahine me di jaane waali khoraak :
- be'ghair pasa hu'aa chaawal, gaa'ae ya murgh ya bakre ke gosht ke saath
- saadah biscuit
- ghal'laat jaiyse chane, raajma, daal wa'ghairah
- seb ya kele ya gulaabi ko randa kar ke (yaani baarik) khilaa'aen
- khurma
Geyaarahwen mahine se 21 mahine tak :
Wo khoraak jo aam taur par bade afraad khaate hain
Note :
- mazkurah baala khoraak kaafi nahi hai balke maa kaa dudh bhi zaruri hai
- ibtedaa'ei mahinon me di jaane waali gheza narm, halki phulki aur patli ho taa ke sheer'khaar aasaani se ouse nigal sake
- aek aek kar ke na'ae khaane khilaa'aen keyon ke agar noqsaan kare ga to maalum ho jaa'ae ga ke bach'che ko kis khaane se allergy hai
- mazid maalumaat doctor se haasil karen
- pahle sawaal ka jawaab diya jaa chuka hai molaaheza farmaa len
Niche recommend ki gaei video dekhna aur jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
Sone (gold) ka daant lagwaana aur aqiqa ki tafsilaat
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
10 / رمضان المبارک / 1443 ھ.ق
◾روز وفات ام المومنین حضرت خدیجہ سلام الله علیها◾
subscribe us on youtube
No comments:
Comment