Sawaal az : mohtaram janaab Hasan Mohammad sb
Kya us peshnamaz ki iqtida meñ panjgana namaz ada ya qaza padhi ja sakti
hai jo kisi marhoom ki ijara namaz padh raha ho ?
Regards,
حسن محمد | hasanm.....@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
imaame jamaa'at ada namaaz padh raha ho ya qaza, muqtadi ada ya qaza donon padh sakta hai
ye zaruri nahi hai ke donon ki namaaz aek hi ho masalan imaam zohr ki namaaz padh raha hai to muqtadi maghrib ya subh ki qaza namaaz padh sakta hai
apni panj'gaana namaaz ki qaza ya kisi marhum / marhumah ki qaza namaazen oujrat par ya beghair oujrat ke padhne waale imaam ki aeqteda me namaaz padh sakte hain ba'sharte ke apni ya marhum / marhumah ki namaaz ke qaza hone ka yaqin ho
taa waqte'ke namaaz ke faut hone par yaqin na ho, nahi padh sakte hain lehaaza agar imaam apni ya kisi dusre shakhs ki namaaz aehteyaatan (احتیاطا) padh raha hai to aiyse imaam ki aeqteda jaa'aez nahi hai
albatta agar muqtadi aehteyaatan namaaz padhna chaahta hai aur imaam bhi aehteyaatan padhna chaahta hai to is surat me aeqteda kar sakte hain lekin is shart ke saath ke donon ke namaaz padhne ka sabab bhi aek hi ho yaani sabab mushtarakah wa moshaabeh ho
Sirf 2 misaal :
- imaam aur muqtadi ne abhi ya pahle namaaz padhi, baad me shak huaa ke qible ki mokhaalif samt me namaaz ada ki hai ya qible ki taraf rukh kar ke padhi hai ? donon ke aehteyaatan namaaz padhne ka sabab yaani qible ke samt me shak aek hi hai to is surat me padh sakte hain
- muqtadi aur imaam donon ne aek hi aur aiysi zamin par namaaz ada ki jis ke ghasb shodah hone me shak hai, donon ke aehteyaatan namaaz padhne ka sabab yaani ghasb shodah hone me shak aek hi hai to is surat me bhi aeqteda kar sakte hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
23 / رمضان المبارک / 1443 ھ.ق
Recommendation
imaame jamaa'at ke sharaa'aet me halaal zaadaah hone ki shart keyon hai ?
No comments:
Comment