اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں
باسمہ تعالی
Ibne Muljam ka dardnaak azaab dekh kar eisaaei aabid ka musalmaan hona
qaatile Amirul Momenin Ali (علیہ السلام) ibne Muljam moraadi ki seyaah maut ke baad khoda'wande aalam ki jaanib se ous par aek azaab, parinda ke zariae naazil huaa. maajara ka kholaasa ye hai :
Shaikh Raawandi ne asnaad ke saath Hasan Bin Mohammad al'maaruf ba Ibne Refa se kufa me rewaayat ki hai ke aek din Masjedul Haraam me dekha ke maqaame Hazrate Ibraahim ke qarib log aekath'tha hain oun ke darmeyaan aek shakhs baitha hai main ne logo se puchha ke ye shakhs kaun hai ?
oun logo ne batlaaya ke aek raahib (eisaaei aabid) hai jo musalmaan ho gaya hai aur ajibo gharib, hairat angez baaten kar raha hai
Raawi kahta hai :
Jab main ous shakhs ke qarib gaya to dekha ke aek azimul jus'sah budha mard reshmi reda odhe maqaame Hazrate Ibraahim ke paas baitha hai main ne suna ke wo kah raha hai :
main soma'ah (girja) me raahibon ka sardaar hun aek din gidh (vulture) ki tarah aek parinda ko dekha ke apne nar'khara (gale ki nali) se aek aadmi ke badan ka aek hissa ougal diya phir dusri martaba aek aur hissa munh se baahar kar diya teesri aur chauthi martaba bhi aiysa hi kiya yahaan tak ke aek mokammal insaan ho gaya dusre din bhi isi tarah dekha, dekh kar hairat'zada ho gaya. aebaadat khaana se baahar aa kar ous shakhs se puchha tum kaun ho ? ous ne jawaab nahi diya to main ne kaha tumhen ous zaat ki qasam deta hun jis ne tum ko paida kiya bataao tum kaun ho ? ous ne kaha main Ibne Muljam hun phir main ne ous se dusra sawaal kiya ke tum ne kaun sa aiysa gunaah kiya hai jis ki saza mustaqil is tarah di jaa rahi hai yaani aek aek kar ke tumhaare jism ke chaar hisse parinda ougalta hai phir aek aek kar ke nigal jaata hai ?
ous ne kaha main Ali Ibne Abi Taalib ka qaatil hun
isi wajah se khoda'wand ne is parinda ko moqarrar kiya hai taa ke har roz is tarah mujhe taklif wa saza'ae gunaah de, tum har roz isi tarah dekh bhi rahe ho
Raahib kahta hai main baat hi kar raha tha ke achaanak wahi parinda aaya aur is ke tukde tukde kar ke apna loqma bana liya jab jism ke tamaam hisson ko nigal gaya to main gidh ki tarah parinda ke aane ka intezaar karne laga achaanak parinda aaya aur aek aek kar ke ougalna shuru kiya jab chautha hissa bhi munh se baahar kar diya aur ye mokammal insaan ho gaya to ous se puchha :
Ali Ibne Abi Taalib kaun hain ?
jawaab diya Rasule khoda Hazrate Mohammad Mustafa (صلی اللہ علیہ و آلہ) ke chacha zaad bhaei aur oun ke wasi wa jaanashin hain
Raahib kahta hai ye manzar dekh aur sun kar main musalmaan ho gaya aur haj wa Rasule khoda ki zeyaarat ke aeraade se yahaan aaya hun
Is waaqe'aa ka zikr mokhtalif shia wa sunni ketaabon me hai sirf 2 ketaabon ka hawaala diya jaa raha hai :
- madinatul ma'aajiz jild 2 safa 164 taalif mohaddese jalil aalime Nabil Syed Haashim bahraani naashir mo'as'sasah al-no'maan bairut
- fazaa'aelul khamsa min al'sehaahul sunnah jild 2 safa 87 taalif allaama Syed murtaza Husaini Firoz Aabaadi naashir mo'assasah aalami bairut
... ان فى ذلك لعبرة لاولى الابصار
(aale imraan 13)
chashme bina rakhne waalon ke liae is waaqe'aa me yaqinan badi eibrat hai
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad Patna
moqim Qumul mashrefa Iran
20 / ramazaanul mobaarak / 1438 H.Q
this article translitrated by "Saiyed Mohammad Tabish" from urdu to roman urdu
No comments:
Comment