sawaal az : mohtaram janaab shadab sb / lucknow
Salamun Alaikum,
Allah kare aap aur aap ki family khairyat se rahe
Janab ek Sawal hai,
Kiya syed ladki (Girl) ki Shaadi ghair Syed se behtar hai, ya mana hai,
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
fiq'hi wa shar'ei aetebaar se say'yid zaadi ka nekaah ghair say'yid shia se ho sakta hai koei haraj nahi hai, Maasumin (سلام الله عليهم) ne mana nahi kiya hai lekin agar izdewaaji zindagi aur mo'aashare me waaqe'ei aekhtelaafaat aur fitne wa mushkelaat ka sabab bane to na karna behtar hai
aiysi shaadiyon ki misaalen ibtedaa'ae daur-e-islaam me bhi milti hain molaaheza farmaa'aen :
Imaam Reza (عليه السلام) se marwi aek tawil hadise qudsi me hai :
" ... زَوَّجَ ضُبَاعَةَ بِنْتَ زُبَيْرِ بْنِ عَبْدِ اَلْمُطَّلِبِ لِمِقْدَادِ بْنِ أَسْوَدَ ثُمَّ قَالَ أَيُّهَا اَلنَّاسُ إِنَّمَا زَوَّجْتُ اِبْنَةَ عَمِّي اَلْمِقْدَادَ لِيَتَّضِعَ اَلنِّكَاحُ "
"... Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne "Zobaa'ah Binte Zobair Bin Abdul Mut'talib" (apni chacheri bahen) ki shaadi Meqdaad se ki, phir farmaaya : ay logo ! beshak main ne apni chachaa'zaad bahen ki shaadi Meqdaad se ki taake nekaah sahl aur aasaan ho sake
[O'yuno Akhbaarir Reza (عليه السلام) jild 2 p 260 - taalif Shaikh Saduq]
aap ne molaaheza farmaaya ke hazrat "Zobaa'ah" say'yid zaadi thin aur hazrat "Meqdaad" ghair say'yid the is ke baawojud Nabi-e-rahmat (صلى الله عليه وآله) ne hazrat "Zobaa'ah" ki shaadi hazrat "Meqdaad" ke saath ki taake nekaah mo'aashare me aasaan ho
baaz say'yid maraaje keraam ne bhi apni ladkiyon ki shaadi ghair say'yid se ki hain
Tabserah :
- istelaah me say'yid ous ko kahte hain jis ka silsila'ae nasab baap ki taraf se Rasul-e-Khoda (صلى الله عليه وآله) ke jad "Abdul Mut'talib Bin Haashim" (صلوات الله عليهم) tak pahunchta ho
- mazid maalumaat ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farmaa len
is ke peshe nazar Maasumin, min jumlah Rasul-e-khoda ki aek lauti beti hazrat Zahra (سلام الله عليهم) ... ki aulaad wa nasl say'yid hain
syed aur ghair syed ki shaadi | rishton ke intekhaab ka meyaar | safed shaadi ka hukm
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
23 / شعبان / 1443 ھ.ق
Recommended
keya ghair syed khud ko jaafari likh sakte hai ? | syed ladki ka nekaah ghair syed se ho sakta hai ?
No comments:
Comment