Sawaal az : mohtaram janaab shadab sb / lucknow
Salamun Alaikum
Sunni Maulana ke peechhe jamaat me Furada ki niyat se ya kazai umri ki niyat se Namaz pad sakte hai,
Ya koi bhi Wajib Namaz nahi pad sakte
Plz detail jawab d
Shadab
affection group p bhi jawab de sakte hai,
Allah Hafiz
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ji, sunni imaame jamaa'at ke pichhe yaani sunniyon ke saath baa jamaa'at qaza aur adaa namaazen padh sakte hain jaa'aez hai lekin apni namaaz ko khud padhen yaani hamd-o-surah ko bhi padhen
agar subh, maghrib aur aesha ki namaaz , jamaa'at ke saath ho rahi hai to hamd-o-surah ko baland aawaaz se padhna zaruri nahi hai aahista padhen
albatta namaaz ki dusri sharton aur waajebaat (jaiyse haath khol kar namaaz padhna, oun chizon par peshaani rakhna jin par sajdah karna sahih hai aur hamd ke baad aamin na kahna ...) par amal karna zaruri hai
agar oun ki namaaze jamaa'at me shirkat oun ki taalife qolub aur eit'tehaad ka baa'aes ho aur shion par lagaa'ae ga'ae eilzaamaat dur karne ke liae ho to oun ke saath baa jamaa'at namaaz padhna pasandida kaam hai lekin agar oun ki namaaze jamaa'at me shirkat fasaad ka sabab bane masalan oun ki taa'eid ho ya shia mazhab aur namaazi ki tauhin wa tahqeer ... ho to shirkat karna jaa'aez nahi hai
Tabserah :
- agar oun ki jamaa'at ke saath namaaze jum'ah padhi hai to ous ke baad namaaze zohr bhi padhen
- taqiyah ki haalat me oun ke saath baa jamaa'at namaaz padhne ke khaas ahkaam hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
4 / شعبان / 1443ھ.ق
🌹 روز ولادت باسعادت ابوالقِربَة باب الحسين قمر بنى ہاشم حضرت عباس ( سلام الله عليهم ) 🌹
subscribe us on youtube
No comments:
Comment