Sawaal az : khaahare geraami
salaam
Aik sawal hai 13 shaban ko kaha jata hai ke jis ke ghar me inteqal hota hai unke ghar jharoo pochha aur ghusul hota hai is liye baqi log apne ghron me 13 shaban ko koi kaam na karain jharoo pochha ghusul waghaira na krain is mai kiya sachaii hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته
ye tasaw'wur ghalat, man'ghadat (من گھڑت) aur khoraafaat hai
islaam se naa'balad baaz log aiysi baaten karte hain. hamaare deen "islaam" me nazaafat wa safaaei aur kaam ko aek khaas ahamiyat haasil hai, Nabia-e-Akram (صلى الله عليه وآله) ne bhi kaam aur safaaei wa nazaafat ki khosusi taakid farmaaei hai
Aap ne irshaad farmaaya :
" تَخَلَّلُوا فَإنَّهُ مِنَ النَّظافَةِ، وَالنَّظافَةُ مِنَ الإيمانِ، وَالايمانُ وَصاحِبُهُ فى الْجَنَّةِ "
"khelaal karo keyon ke khelaal karna nazaafat wa safaaei se hai aur safaaei wa nazaafat eimaan se hai aur eimaan wa momin jannat me daakhil honge"
(Mustadrakul Wasaael jild 16 - p 319 - taalif Mohaddis Nuri)
safaaei suthraaei ka sar'chashma eimaan hai lehaaza jo momin hoga wo saaf suthra rahe ga
shari'at me safaaei na karne aur koei kaam na karne ke liae 13 shaabaan ki taarikh moqarrar nahi hai yaani is taarikh me safaaei aur koei kaam karne ki momaana'at nahi hai
is taarikh me kaam aur safaaei ki zarurat mahsus ho to kaam aur safaaei kar lena chaahiae
mazkurah baala hadis me "nazaafat" ka mafhum aam hai, nazaafat wa safaaei se moraad sirf badan ki paakiz'gi yaa lebaas ki suthraaei nahi hai balke is me jhaadu dena wa'ghairah bhi shaamil hain
ghusl ke ta'alluq se arz kar dun ke agar koei kahe ke 13 shaabaan ko waajib ghusl nahi karna chaahiae to ye shar'ei ahkaam ki khelaaf'warzi hai aur is ki khelaaf'warzi karna gunaah hai is liae ke namaaz wa'ghairah ke liae ghusl karna zaruri hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
20 / شعبان المعظم / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment