Haaliya eintekhaabaat ke mota'alliq momenin ke naam khula khat - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, March 11, 2022

Haaliya eintekhaabaat ke mota'alliq momenin ke naam khula khat

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


باسمہ تعالی
السلام عليكم و رحمة الله و بركاته


Haaliya eintekhaabaat ke mota'alliq momenin ke naam khula khat


momenine geraami ye amr aap jaise ahle imaan wa basirat hazraat se makhfi nahi ke is daure pur'aashob ke haalaat wa waaqe'aat ummate muslemah ke liae khatarnaak se khatarnaak tar hote chale jaate hain har ek oun haulnaakiyon ko mahsus karte huae oun se tahaffuz aur apni baa'eizzat baqa ki koshishon me sar dhad ki baazi laga raha hai lekin ham ne aise haalaat ki nazaakat ka shadid aehsaas na kabhi pahle hi kiya aur na aaj ous ki taraf hamaari khususi tawajjoh hai dunya ke gosha gosha me bedaari ki lahar daud gaei magar ham waise hi khaabe ghaflat me mad'hosh hain husne ittefaaq ya suae ittefaaq agar kabhi mujtama huae bhi to motafarriq hone ke liae, mile to juda hone ke waaste is ke bar'aks aghyaar ne hamesha mauqa shanaasi se kaam liya haalaat ki raftaar ka gahri nazar se andaaza kiya aur jo qadam outhaaya bar'mahal aur muqtazaa'ae haal ke motaabiq outhaaya jis ka natija haaliya election me ek jamaa'at ki kaamyaabi hai


yaqinan baaz log kaamyaab jamaa'at me shomuleyat aekhteyaar kar ke oun ki nazar me surma'ae chashm ban kar samaa jaane ki koshish karen ge ous ke baad mumkin hai inteqaam ke motaalaba ki aawaazen baland kar ke hamaare wojud ko fana kar dene ki sa'ei-e-laa'haasil karen
in haalaat ke baawojud ham hain ke is khaabe khargosh me kharraate le rahe hain
be'fazlehi ta'aala aammatul muslemin me hamaari ahmiyat wa taaqat hai ham ne bhi qurbaaniyan di hain phir bhi hamaara hona na hone ke baraabar hai is se badh kar hamaari badqismati keya ho sakti hai hamaari adam-e-tanzim ne hame ye waqt dekhaaya hamaara mazhab, jaano maal, eizzat wa aabaru, auqaaf sab kuchh shadid tarin khatraat me mahsur nazar aate hain
hamaare mokhaalefin ki taaghuti taaqaten wa jamaa'aten hamaare kuchalne aur harfe ghalat ki tarah mitaa dene ke dar'pe nazar aati hain aise haalaat me agar khodanakhaasta hamen hosh na aaya aur ham is tarah ghair monazzam aur muntashir rahe to is ka anjaam zaahir hai


har jamaa'at ka wojud wa asar ous ke aham kaar'haae numaaya ki benaa par taslim kiya jaata hai inferaadi kaam ki ahmiyat hai lekin koei khaas waq'at nahi hoti na inferaadi zindagi wa eizzat koei zindagi wa eizzat hai


ab tak jo huaa so hua ous par afsos ka waqt nahi raha
ab agar ham eizzat wa waqaar ke saath zindaa rahne aur apne sahih mazhab ki baqa ke khaahish'mand hain to hamen "guzishta raa'salawaat aaeindah raa'aehteyaat" ke peshe nazar fil'faur aur zarur biz'zarur shojaa, modabbir, aalime baa amal, dil soz, basir qeyaadat aur ek markaz par jamaa aur aisy wasi wa mustahkam tanzim ke saath monazzam hona pade ga ke hamaara ek fard bhi ham se juda na rahe aur phir puri quwat wa himmat ke saath Allah ta'aala ke fazl wa karam aur ous ki fatah wa nusrat ki oummid aur Imaame Zamaana (atfs) ki taa'eid par maidaane amal me nikal aa'aen haalaat kitne hi bad se bad'tar sahi lekin ham ko ous ki rahmat se naa'oummid nahi hona chaahiae
is me koei shak nahi ke jamhuri (Democratic) nezaam me vote ek taaqat ka naam hai lekin is se pahle hamaari tawajjoh naujawaanon ki taalim wa tarbiyat aur aeqtesaad par ho is ki taaqat naa'qaabile einkaar haqiqat hai abhi hamaara maraz qaabile aelaaj hai aaftaabe oummid ki shoaa'aen chamakti nazar aati hain khoda ki rahmat hamaari harkat ki muntazir hai hame kisi party ko haraana nahi balke apne gire hu'on ko outhaana hai hamaara maqsad kisi se bar'sare paikaar hona nahi na ham ye chaahte hain kisi seyaasi jamaa'at se motasaadim hon ham to bas apna jaa'aez haq lena chaahte hain


aap ne farz shanaasi ke baad apna haqqe raa'ae dehi eistemaal kiya hamaari bas aetni hi zimmedaari thi "as'saei-o-minna wal eitmaamo menal'llah = السعى منا و الاتمام من الله" koshish hamaari taraf se aur ouse pura karna allah ka kaam hai
aksariyat ka vote raahe haq nahi balke raahe hal hai


naa'oummid wa maayus hone ki zarurat nahi is liae ke Imaame Zamaana (atfs) be'eiznillah hamaare mohaafiz hain koei bhi taaqat wa qudrat ham ko khatm nahi kar sakti ...


كم من فئة قلیلة غلبت فئة كثيرة باذن الله و الله مع الصابرين

(baqrah)


"basaa auqaat ek qalil jamaa'at ne khoda ke humk se badi jamaa'at par fatah haasil ki hai aur allah sabr karne waalon ke saath hai


و مكروا و مكرالله والله خيرالماكرين

(aale eimraan)


oun logo ne tadaabir sochi aur allah ne tadbir farmaaei ke allah behtarin tadbir karne waala hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Edaara-e-darul itrat azim aabaad patna
hauza-e-eilmiya qumul moqaddasa


12 / jomaadiyus'saani / 1438 H.Q

subscribe us on youtube


translitrated by "Syed Mohammad Tabish from urdu to roman urdu

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen