Sawaal az : mohtaram janaab Mansoor Sb.
Kya baith kar peshab karne ke baad khade ho kar paani se dho sakte hain kya
sharamgah kyu ki pant tight hone ki wajah se baith kar dho nahi sakte is liye
peshab kar ke khade ho kar dho sakte hain plz reply kahi bhi answer nahi mil raha
Regards,
Mansoor |
Pashaman.....@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
Mokhtasar jawaab :
ji haan dho sakte hain
Qadre tafsili jawaab :
dho sakte hain koei haraj nahi hai "istinja" (peshaab paakhaana ke baad najaasat se apne aap ko paak karna) ka ghosaalah (yaani peshaab wa paakhaana ke maqaam ko aabe qalil se dhone ke waqt juda hone waala paani) agar jism ya lebaas waghairah par lag jaa'ae to wo (jism wa lebaas waghairah) najis nahi hoga
lekin 5 sharton ke saath :
- najaasat ki wajah se paani ka rang aur zaa'aeqah tabdil na ho aur ous se badbu na aa'ae
- baahar ki koei najaasat ous tak na pahunchi ho
- koei dusri najaasat jaiyse khun, peshaab ya paa khaana ke saath na ho (na nikli ho)
- paa khaana ke zar'raat paani me zaahir na hon (dekhaaei na den)
- peshaab ya paa khaana khaarij hone ki jagah ke ird gird aam taur par najaasat jetni meqdaar me lagi rahti hai ous se zeyaadah na lagi ho
Tabserah :
khade ho kar peshaab karna haraam wa gunaah nahi hai lekin bela ouzr wa majburi khade ho kar karna makruh hai
is ki mazam'mat ki gaei hai mohaz'zab aur islaami mo'aashare me maayub hai
is me kaafi noqsaanaat bhi hain keyun ke masaana mokam'mal taur par khaali nahi hota ous ke ird gird peshaab rah jaata hai jis ki wajah se path'ri aur sartaan ki bimaariyon ka khadshah rahta hai, infection ya dusri mushkelaat bhi ho sakti hain
aek tahqiq ke motaabiq jin mardon ka prostate ya masaane ke niche akhrot ke baraabar ghodud (غدود) badh jaata hai aur is wajah se peshaab aane me rokaawat pesh aati hai lekin baith kar peshaab karne se ye taklif kam ho sakti hai aur prostate ke sartaan se bacha jaa sakta hai aur jinsi zindagi bhi aasudah ho sakti hai
shaayad isi wajah se shari'at me baith kar peshaab karne ki talqin ki gaei hai lekin maghrebi baiytul khala" (western toilet) par baith kar nahi balke islaami tariqe ke motaabiq raf'ae haajat karen yaani oukdun (اکڑوں) baith kar
(talwon ke bal is tarah baithen ke pet donon zaanu'on se aur put'the donon aediyon se lag jaa'aen aur pind liyaan khadi rahen)
is tarah raf'ae haajat karne me masaane par dabaao padta hai jis ke baa'aes masaana mokam'mal taur par khaali ho jaata hai jo sehat ke liae faa'aedah mand hai
mauzu ke mota'alliq maalumaat ke liae niche di ga'ei video dekhna aur di gaei surkhi (headline) par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
26 / شعبان / 1443ھ.ق
No comments:
Comment