Sawaal az : + 9199673...
Salamo alaikum
Agha ek sawal hai 14 shaabaan imame zamana ki nazr hoti hai 12 baje kuchh buzurgh ye kehte hai ki jab nazr hoti us waqt mombatti roshan ki jaati usme agar kisi shaqsh ki parchhaai agar nazar nahi aati to wo agle saal zinda nahi rahega ye baat kahan tak sahi hai iska kya matlab hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
ye wahmi, kheyaali, jhut aur be'huda wa laghv (لغو) baat wa bakwaas hai
aur khoraafaat hai shar'an is ka koei aetebaar nahi hai
khoraafaat ki asl wa jad aql ki kamzori wa jehaalat wa kam eilmi hai
mazhab-e-shia, mazhab-e-aql wa eilm hai lehaaza jo log khoraafaat ko dini wa mazhabi rang de kar ayisi khatar'naak bimaari ko taaoun ki tarah phaiy'laate hain wo shi'at ko badnaam karte hain
as'haab-e-saqifa ki tarah khoraafaat wa inheraaf ki tarwij karte hain is liae ke dini wa mazhabi khoraafaat wa inheraaf ki bunyaad saqifa hai khoraafaat wa inheraaf wahin se shuru huaa
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
18 / شعبان / 1440ھ.ق
No comments:
Comment