Sawaal az : +91703853...
Salamun aalaikum wrwb bhai eid Mubarak ho
Mera yeh sawal tha ke namaze kun fayakun jo hazrate Abbas a.s alamdar se mansub hai kya aap uski puri tarteb aur uski sahi time bhi Bata sakte hai 🙏🙏
Jawaab :
باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
آپ کو بهی مبارک ہو
"Kun fa-yakun = کُن فَیَکُون " (khoda kahta hai ho jaa pas ho jaata hai) waali namaaz kisi motabar ketaab me hamen nahi mili aur Maasumin (صلوات الله علیهم) me se kisi se is ka koei sobut mujhe nahi mila
shaayad ye logon ki apni taraf se banaa'ei huei ho, haajat rawaa'ei ke liae kisi buzurg ki mojarrab wa aazmudah ho lekin ye aazmaayaa hu'aa wa mojarrab nuskha deen ke naam par na ho, agar deen ke naam par ho to ye shari'at me dakhal hai
Lehaaza is namaaz ko shari'at ka dastur samjhe, be'ghair padh sakte hain, masalan is namaaz ko Hazrat Abbaas (علیه السلام) ko hadiya karne ki niyat se padhen yaa rajaa'an yaani qabul hone ki oummid wa aarzu se padhen
Baaz hazaraat ke qaul ke motaabiq namaaz ka tariqa ye hai :
Do do rak'at kar ke 3 daf'ah (namaaze subh ki tarah) padhen yaani majmu'an 6 rak'at
har rak'at me Hamd-o-Surah ke baad 100 martabah " یَا حَیُّ یَا قَیُّوم= yaa haiy'yo yaa qaiy'yum " kahen phir tashah'hud wa salaam ke baad tasbihe Hazrat Zahra (سلام الله علیها) padhen, is ke baad Hazrat Abbaas (علیه السلام) par 100 martabah salawaat bhejen (masalan kahen اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلَی عَبَّاس = alla humma salle ala Abbaas) phir angusht-e-shahaadat (sidhe haath ki anguthe ke paas waali oungli) qibla ki jaanib karen aur 100 martabah kahen " اَلسَّلَامُ عَلَیکَ یَا اَبَاالفَضلِ العَبَّاس عَلَیهِ السَّلَام = assalaamo alaiyka yaa abal fazlil Abbaas alayhis'salaam" phir sajde me jaa kar donon haathon ko Aasmaan ki taraf baland karen aur 25 martabah kahen "الهی = aelaahi" phir Hazrat Abbaas (علیه السلام) ke do kate huae baazuon ka waasta de kar apni haajat talab karen
Note :
- behtar hai haajat rawaaei ke liae motabar namaazen jaiyse namaaze Jaafare Taiy'yaar waghairah padhen
- Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
5 / شعبان / 1443 ھ.ق
🌹 روز ولادت با سعادت سُرُورُ العَارِفِین ، زین العابدین حضرت امام سجاد علیه السلام 🌹
No comments:
Comment