اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبایئں
باسمہ تعالی
Buraa'ei aur gunaah se bachne ka teen asli wa bunyaadi nuskha :
- Moshaarata :
- Moraaqaba :
- Mohaasaba :
eibtedaa-e-roz me khud se shart baandhe yaani khud se ahdo paimaan karen ke aaj hukme khoda ke bar'khelaaf kaam nahi karun ga mosammam wa pakka aeraada karen ke jo ahd kiya hai ous ko nahi todun (توڑوں) ga tajraba kar ke dekhen ek din khoda ke hukm ki khelaaf warzi na karna insaan ke liae bahot aasaan hai khud se baandhi huei shart se baa aasaani ohda-bar'aa ho sakte hain shart puri kar sakte hain
moshaarata ke baad moraaqaba ki baari hai yaani khud se ahdo paimaan ki muddat ke darmeyaan is ka dheyaan rakhe ke ahd shekani aur waada khelaafi na hone paa'ae agar is ke bar'khelaaf kaam karne par shaitaan waswasa kare to ous par laanat karo aur ous ke shar wa buraa'ei se bachne ke liae khoda ki panaah maango is be'huda wa kheyaale baatil ko apne dil se nikaal do aur shaitaan se kaho apne ahdo paimaan ko nahi todun ga khoda ki naafarmaani na karne par khoda ki taraf se hamaare liae zamaana daraaz nematen hain
ye moraaqaba hamaare tamaam kaamo jaise kasbe ma'aash, safar aur tahsile ilm waghairah me rokaawat nahi hai ek dusre ki zid nahi hain (lehaaza is par amal har waqt, har haalat me mumkin hai)
is tarah pura din guzaaren yahaan tak ke raat ho jaa'ae ye waqt khud se mohaasaba karne yaani hesaab talab karne, baaz purs, padtaal aur puchh gachh ka hai (raat ke sannate me) khud se puchhen khoda se jo shart baandhi thi aur ahdo paimaan kiya tha aaya ous par baaqi rahe ya nahi ?
khoda se jo mo'aamala kiya tha ous me kheyaanat wa dagha to nahi ki ?
agar wafaadaar wa paabande ahd rahe to is taufiq par khoda ka shukr karo aur jaan lo ke ek qadam aage badh ga'ae tum par khoda ki nazar hai
insha'allah dunya wa aakherat ke mota'alliq omur me taraqqi ke liae khoda tumhaari rahnumaaei kare ga aur aane waale din ka kaam tum par aasaan ho jaa'ae ga kuchh dino yahi kaam kiae jaao
ummid hai tumhaare liae is tarah malaka yaani mahaarat, mashq aur aadat ho jaa'ae ke tum par kaam sahal wa aasaan ho jaa'aen
is dunya me khoda ki aetaa'at wa tarke gunaah par lazzat outhaao ge aur lutf haasil karo ge (mashaqqat wa taklif ka aehsaas nahi ho ga)
[sharhe chehel hadis taalif imaam Khomaini (رحمةالله علیه) se aeqtabaas]
shabe jum'ah hai momenine geraami se khasusi doa ki guzaarish hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat azimaa aabaad Patna
hauza-e-ilmiyaa qum-ul-moqaddasa
10 / jomaadi'us'saani / 1438 H.Q
translitrated by "Syed Mohammad Tabish" from urdu to roman urdu
subscribe us on youtube
No comments:
Comment