Ghungru waali paayal | chudi | anguthi | ghair mahram ke saamne pahenna kaiysa hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, March 10, 2022

Ghungru waali paayal | chudi | anguthi | ghair mahram ke saamne pahenna kaiysa hai ?

Sawaal az : mohtarama janaab samaana sb / zangi pur


Salam
mera sawal hai ki agar hamare pair me payal hai aur usme ghugru laga hai tu agar ghar mahram uski awaz sun rahe to ham gunah me shareek hoge kiya uska pahanna sahi hai ham awaz wala payal pahan sakte hai aese to churi bhi awaz karti hai to kiya dono ka pahanna sahi hai


Jawab ki muntazir ho
Tqlid : Aytullah Sistani


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته


ji haan, aurat ghungru (گھنگرو) waali paa'zeb (paayal) jis se jhankaar ki aawaaz paiyda hoti ho aur ous ki aawaaz ghair mahram sunta ho pahen sakti hai jaa'aez hai albatta is ko tark karna behtar wa afzal hai


yahaan ye baat qaabile zikr hai ke donon payron ko ghair mahram se chhupaana waajib hai


aawaaz waali chudi, dast band (wo zewar jo haath ki pusht par pahna jaata hai), anguthi aur mangni wa shaadi ki anguthi (marriage ring) bhi pahen sakti hai jaa'aez hai, ghair mahram se is ka chhupaana waajib nahi hai albatta aehteyaate mustahab, ghair mahramon ke saamne zaahir na karna hai


waazeh ho ke mazkurah zewaraat ka istemaal jaa'aez hai lekin is shart ke saath ke aurat ki niyat ye na ho ke ghair mahramon ki shahwat aalud negaah pade isi tarah fitne ka andesha na ho aur haraam me padne ka khauf na ho


agar kisi aurat ki niyat ye ho ke ghair mahram ki hawas aalud aankhen dekhen ya fitne ka andesha aur haraam me padne ka khauf ho is ke baa'wojud wo ghair mahram ke saamne zewar zaahir kare ya ghungru waali paayal pahne to aiysi auraten gunah gaar hain


Tabserah :


behtar hai surah nur ki aayat 31 tarjamah ke saath padh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna-shoba-e-sawaalaat Qum / iran


7 / شعبان / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen