keya shia ladki ka nekaah sunni ladke ke saath ho sakta hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, February 13, 2022

keya shia ladki ka nekaah sunni ladke ke saath ho sakta hai ?

Sawaal az : khaahare geraami (varanasi)


Assalam o alaikum

Mera sawal ye hai ki kya ek shia ladki ek sunni ladke se shadi kar sakti hai ?


mera naam show na kariyega

Sistani sahab


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


momenah (shia ladki / aurat) ki shaadi ghair momin (sunni ladke / mard) se jaa'aez hai haraam nahi hai magar makruh hai (yaani na karna behtar hai) lekin agar ous se shaadi hone ki wajah se inheraaf aur gumraahi me padne ka khauf wa andesha ho to jaa'aez nahi hai haraam hai


Tabserah :


jawaab ke 2 pahlu hain aek hai "hukme aw'wali" aur dusra hai "hukme saanawi", is me ye dono pahlu peshe nazar hona chaahiae


Pahla pahlu :


Musalmaan, musalmaan se nekaah kar sakta hai


fiqhe jaafari ke motaabiq sunni musalmaan hain [shia oun kath mullaa'on ki tarah nahi hain jo ahlebaite Rasule khoda (سلام الله عليهم) se bughz-o-kina ki wajah se jhuti aur be bunyaad baaton ka bahaana banaa kar shion ko kaafir kahte hain is liae ke oun ke nazdik shion ka gunaah ye hai ke ba'hukme khoda wa Rasule khoda ahlebait (صلوات الله عليهم) se mohabbat karte hain aur aap ke dushmanon se nafrat, sunni hamaare nazdik musalmaan hain] is aetebaar se "hukme aw'wali" ke motaabiq shia ladki / aurat, sunni ladke / mard se shaadi kar sakti hai shar'an koei haraj nahi hai albatta makruh hai keyon ke momenah ka maqaam-o-martabah ghair momin se bartar wa afzal hai aql ka bhi faiyslah hai ke afzal ko aiyse shakhs ke hawaale wa sopurd nahi karna chaahiae jo mafzul hai


Dusra pahlu :


aam taur par shaadi ke baad biwi apne shauhar ... ke zere asar aur ous ke taabe hoti hai, is baat ka khad'shah qawi hai ke munharif wa gumraah ho jaa'ae, apne haq mazhab ko tabdeel kar de, azeem nemate khoda wandi yaani welaayate Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) se mahrum kar di jaa'ae aur nabi wa Ahlebaite Nabi (صلوات الله عليهم) ke dushmanon se baraa'at ka izhaar na karne diya jaa'ae ...


Dusre ye ke :


aulaad aur aaeindah nasl par is ke bure aur manfi asaraat morattab hote hain, shauhar aur ous ke khaandaan waale aulaad ki zaaheri aur baateni tarbiyat apne saliqe se karen ge, maahaul ka aulaad par bahot zeyaadah asar hota hai


is baat ka imkaan qawi hai ke aulaad, Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ko bela fasl khalifa na maane jab ke ba'hukme khoda, Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne aap ko apna jaanashin moqarrar farmaaya hai


shaadi mahaz miyaan biwi ke ta'alluq ka naam nahi hai balke do khaandaanon ka jod hai is silsile me donon khaandaanon ki baraabari ka bhi lehaaz rakhna zaruri hai


lehaaza mokhtalif aqide wa mazaahib ke logon ke bich shaadi aam taur par dushwaar wa mushkil hoti hai is ka natijah bahot badi tabaahi aur talkhi ki surat me nomudaar hota hai


mazkura baaton ... ke peshe nazar "hukme saanawi" ke motaabiq kisi shia ladki / aurat ka nekaah sunni ladke / mard se dorust wa jaa'aez nahi hai, haraam hai


hamaare liae Nabi-e-Kareem ka deen aur Amirul Momeneen Ali (سلام الله عليهم) ki welaayat har chiz se aham hai lehaaza ba'nisbat apni pasand, deen ki zeyaadah fikr ho


mazid tafsil ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padh len

hukme aw'wali aur saanawi ki taareef jaanne ke liae jawaab number 2 padh len


  1. keya ladki baap ki aejaazat ke beghair shaadi kar sakti hai ? | kab aejaazat lena zaruri nahi | court me nekaah | shia ladki ka sunni ladke se shaadi ka hukm

  2. gaa'ae ke ghosht ka hukm | apne pet ko jaanwar ki qabr na banaao | zeyaadah kaana makruh hai

shaadi ke mota'alliq mazid hukm wa maalumaat ke liae "MENU" me "AHKAAM" ke andar SHAADI ka shoba dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran


10 / رجب / 1443 ھ.ق


🌹🌹🌹🌹🌹

روز ولادت با سعادت حضرت امام محمد تقی (جواد) عليه السلام

🌹🌹🌹🌹🌹

subscribe us on youtube

1 comment:

  1. Wilayat kisi tafseel batayen pls wilayat kisko kehte hai...ham wilayat ko mante hai ye kese zahir hoga kia khali mohabbat karna ya khali nare lagana wilayat ka manna hai...ya wilayat yani kanoone Ali as ko .manna uspar amal karna wilayat ka manna or uspar chalne wilayat hai...

    ReplyDelete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen