Sawaal az : mohtaram janaab Syed Zulfeqar Hussain Rizvi sb (Delhi)
Salam arz aagha,
"Al ghina ashaddo mina'z-zina" kya he hadees-e-masoomin a.s hai, aur agar ye hadees durust hai to phir ghina ke kya maane hain, ghina ko detail se explain kar de'n aur music aur ghina me kya sahi hai kya ghalat ye bhi jaan lena zaroori hai.
Allah jjh aapki umr toolani kare sadqe 14 masoomin a.s ke aur aap isi tarah hum logo'n ke elm me izafa karte rahe'n ameen..
Syed Zulfeqar Hussain Rizvi, Delhi
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
ye jumla yaani "اَلغِنَا اَشَدُّ مِنَ الزِّنَا / ghena, zena se zeyaadah shadid hai" mujhe hadis ki shia ketaabon me nahi mila
albatta Rasule akram (صلى الله عليه و آله) se ye hadis naql huei hai :
" اَلغِنَا رُقِيَّةُ الزِّنَا "
ghena zena ki sidhi (سیڑھی) wa zeenaa (wasilah) hai
(behaarur anwaar - jild 76 - baab 99 alghena)
Ghena aur mausiqi (موسیقی) yaani music :
ye dono alag alag chizen hain. ghena ; gaana, raag, naghma ko kahte hain. iska rabt zabaan wa halq waghairah se hai aek khaas andaaz me aawaaz ko khinchte hain aur halq me makhsus andaaz se ghumaate hain
aur mausiqi (music) ka rabt makhsus aalaat wa auzaar se hai. mausiqi ous aawaaz ko kahte hain jo aalaate mausiqi se nikalti hai
albatta ye dono chizen aek jagah jama ho sakti hain, misaal ke taur par ghena mausiqi ke saath ho. ghena mausiqi ke aalaat se aam taur par ham'aahang hota hai
Shar'ei hukm :
ghena aur music dono alag alag zarur hain lekin hukm ke aetebaar se aek hain
har ach'chhi aawaaz wa music haraam nahi hai balke shaad karne waala ya gham wa huzn'aawar wo ghena wa music haraam hai jo lahwo la'aeb " لهو و لعب " (khel, tamaasha, raqs, behuda chizon, fisqo fojur, gunaah, aiy'yaashi aur fah'haashi) ki taraf maa'ael kare ya jis se insaan ki shahwaani taaqat haiyjaan me aa'ae wa oubhre ya fisqo fojur aur gunaah'gaaron, aiysho-nosh, aiy'yaashon aur badkaaron ki bazm me raa'aej ho
mokhtasar ye ke wo music wa ghena haraam hai jo sur paiyda kar de aur insaan ko mast wa khoda se ghaafil kar de
ous ko gaana, sunna aur ous ke zariae maal kamaana, kharido farokht, ous ka pesha aekhteyaar karna, ouski bazm me jaana aur ouski taalimo tarbiyat sab haraam hain
jo bayaan kiya agar ous se music wa ghena motaabaqat nahi rakhte hain to oun ko sunna waghairah jaa'aez hai
hatta agar aap ko shak hai ke folaan music ya ghena haraam hai ya nahi to mash'hur maraaje wa foqaha ke nazdik sunna jaa'aez hai
Wazaahat :
kaun music wa ghena haraam hai aur kaun halaal. is ki tashkhis bhi mokallaf (aaqil wa baaligh shakhs) ke zimme hai ya meyaar aam momenin hain
Music wa ghena haraam hone ki baaz hikmaten wa falsafe :
- insaan ko fahsha wa fasaad ki taraf maa'ael karte hain, shaiytaan ki aawaaz hai, Allah ki naafarmaani ki taraf daawat dete hain
- yaade khoda se ghaafil karte hain
- dilo dimaagh hatta jism par ghalat wa manfi asaraat hote hain
- mohim kaamon se tawajjoh hat jaati hai
- jis ghar me juwa wa haraam mausiqi wa ghena ke aalaat hon ous ghar me farishte nahi aate hain aur ahle khaana ki doa qabul nahi hoti hai ghar se khaiyro barkat chali jaati hai
Note :
ye keyun haraam hain ? yaani in ke haraam hone par dalil keya hai ? ye ilmi wa tafsili bahas hai yahaan bayaan karne ka maqaam nahi
Niche recommend ki gaei video dekhna wa jawaab padhna mofeed hai انشاءالله
- Kaun si music halaal hai aur kaun si haraam ?
keya background music ke saath ash'aar | naat | qasida | nauha padhna | sunna jaa'aez hai ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
16 / ربیع الثانى / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment