Sab se bada kaafir aur khabees kaun hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, February 24, 2022

Sab se bada kaafir aur khabees kaun hai ?

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبایئں


بسم الله الرحمن الرحیم

یا صاحب الزمان ادرکنا


Sab se bada kaafir aur khabees kaun hai ?


Is se pahle bataaya tha ke German ke ek ghair muslim professor ne keyon kaha ke daarul hokumat (Berlin) ke kisi maidaan me Mo'aawiya bin abi Sufyaan ka sone (gold) se bana mojassamah nasb karna chaahiae


Aaj aap hazaraat ki khidmat me bataaun ga ke sab se bada kaafir kaun hai ? aur sab se bada khabees aadmi kaun hai ?


Is ke mota'alliq darj zail rewaayat qaabile ghaur wa molaaheza hai :


قَالَ الْمُطَرِّفُ بْنُ الْمُغِيرَةِ بْنِ شُعْبَةَ: " دَخَلْتُ مَعَ أَبِي عَلَى مُعَاوِيَةَ، فَكَانَ أَبِي يَأْتِيهِ فَيَتَحَدَّثُ مَعَهُ، ثُمَّ يَنْصَرِفُ إِلَيَّ فَيَذْكُرُ مُعَاوِيَةَ وَعَقْلَهُ، وَيُعْجَبُ بِمَا يَرَى مِنْهُ، إِذْ جَاءَ ذَاتَ لَيْلَةٍ فَأَمْسَكَ عَنِ الْعَشَاءِ، وَرَأَيْتُهُ مُغْتَمًّا، فَانْتَظَرْتُهُ سَاعَةً، وَظَنَنْتُ أَنَّهُ لأَمْرٍ حَدَثَ فِينَا، فَقُلْتُ: مَا لِي أَرَاكَ مُغْتَمًّا مُنْذُ اللَّيْلَةِ؟ فَقَالَ: يَا بُنَيَّ جِئْتُ مِنْ أَكْفَرِ النَّاسِ وَأَخْبَثِهِمْ، قُلْتُ: وَمَا ذَاكَ؟ قَالَ: قُلْتُ لَهُ وَقَدْ خَلَوْتُ بِهِ: إِنَّكَ قَدْ بَلَغْتَ سِنًّا يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ، فَلَوْ أَظْهَرْتَ عَدْلا، وَبَسَطْتَ خَيْرًا فَإِنَّكَ قَدْ كَبِرْتَ، وَلَوْ نَظَرْتَ إِلَى إِخْوَتِكَ مِنْ بَنِي هَاشِمٍ، فَوَصَلْتَ أَرْحَامَهَمْ، فَوَاللَّهِ مَا عِنْدَهُمُ الْيَوْمَ شَيْءٌ تَخَافُهُ، وَإِنَّ ذَلِكَ مِمَّا يَبْقَى لَكَ ذِكْرُهُ، وَثَوَابُهُ؟ فَقَالَ: هَيْهَاتَ هَيْهَاتَ! أَيُّ ذِكْرٍ أَرْجُو بَقَاءَهُ! مَلَكَ أَخُو تَيْمٍ فَعَدَلَ وَفَعَلَ مَا فَعَلَ، فَمَا عَدَا أَنْ هَلَكَ، حَتَّى هَلَكَ ذِكْرُهُ إِلا أَنْ يَقُولَ قَائِلٌ: أَبُو بَكْرٍ

ثُمَّ مَلَكَ أَخُو عَدِيٍّ، فَاجْتَهَدَ وَشَمَّرَ عَشْرَ سِنِينَ، فَمَا عَدَا أَنْ هَلَكَ حَتَّى هَلَكَ ذِكْرُهُ، إِلا أَنْ يَقُولَ قَائِلٌ: عُمَرُ

وَإِنَّ ابْنَ أَبِي كَبْشَةَ لَيُصَاحُ بِهِ كُلَّ يَوْمٍ خَمْسَ مَرَّاتٍ: أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ فَأَيُّ عَمَلٍ يَبْقَى؟ وَأَيُّ ذِكْرٍ يَدُومُ بَعْدَ هَذَا لا أَبَا لَكَ؟ لا وَاللَّهِ إِلا دَفْنًا دَفْنًا "


Tarjoma wa mafhum :


"Moghirah Bin Shoba" ke farzand "Motarrif" ne kaha : main apne baap ke saath ek roz Mo'aawiya ke paas gaya, albatta mere baap Mo'aawiya ke paas hamesha jaaya karte the aur ous se baat chit karte the, phir mere paas aate the aur Mo'aawiya wa ous ki aql ke baare me bayaan karte the aur ous se jo kuchh dekhte sunnte the ous par ta'ajjub karte the (yaani ous ki khoob taarifo tamjid karte the) lekin ek raat Mo'aawiya ke paas se aa'ae to raat ka khaana nahi khaaya main ne oun ko ghamgin dekha to kuchh der oun ka intezaar kiya, phir main sochne laga ke shaayad hamaari kisi baat se ghamgin hain, lehaaza puchha aaj raat aap behad ghamgin keyon hain ?

To kaha : beta, main logon me sab se bade kaafir shakhs aur sab se bade khabees aadmi (yaani Mo'aawiya) ke paas se aa raha hun, main ne puchha keya huaa ? (ke ab Mo'aawiya ke baare me is tarah kah rahe hain)

unhon ne bataaya ke aaj Mo'aawiya se tanhaaei me kaha ay amir tum budhe ho ga'ae ho aur aeqtedaar me bhi aa ga'ae ho, agar insaaf se kaam lo aur logon ke saath neki karo to keya ho jaa'ae ga ? (dobaara kaha) tum budhe ho ga'ae ho agar Bani Haashim ko mehrbaani ki nazar se dekho aur oun ke saath sela'ae rahim karo to keya ho jaa'ae ga ? Khoda ki qasam Bani Haashim ke paas ab kuchh nahi jis se tum khauf karo, be'shak is se tumhaari yaad, naam aur sawaab baaqi rahe ga

To Mo'aawiya ne kaha "ghazab huaa, haif sad haif kaun si yaad jis ke baaqi rahne ki ummid karun !


Bhaaei taim (yaani Abubakr) baad'shaah ban ga'ae aur insaaf kiya aur jo karna tha kiya lekin oun ke marne ke baad ek roz hi guzra tha ke oun ki yaad khatm ho gaei aur naam mit gaya, oun ki yaad bas itni baaqi hai ke kahne waala kahta hai : Abubakr


Phir bhaaei adi (yaani Umar) baad'shaah ban ga'ae aur 10 saal koshish ki lekin 10 saal tezi se guzar ga'ae aur oun ki maut ke saath oun ki yaad bhi khatm ho gaei aur naam mit gaya, oun ki yaad bas itni baaqi hai ke kahne waala kahta hai : Umar


lekin Abi Kab'sha ke farzand [Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله)] ka naam har roz 5 martabah pukaara jaata hai, kaha jaata hai "Ash'hado anna mohammadan rasulullah = اَشهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً رَسُول الله " (phir Mo'aawiya ne kaha ay Moghirah) jab tak is shakhs ka naam zinda hai kaun sa amal baaqi rahe ga ? ay Moghirah tera baap mare (ye jumla zam ke moqe par istemaal hota hai) khoda ki qasam in [Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله)] ka naamo neshaan dafna kar mita dene tak chain se nahi baithun ga


Beraadaraane Sunni ki chand shohra Aafaaq ketaabon ke hawaale :


  1. Al-akhbaarul mowaf'faqiyaat page 219 taalif Zobair bin Bakkaar

  2. Sharho Nahjil balaaghah jild 5 safha 129 wa 130 - taalif Ibne Abil-Hadid - naashir daar aehya at'toraasul arabi

  3. morujuz zahab wa ma'aadenul jauhar jild 3 safha 454 - taalif Mas'oudi - naashir daarul hijrah

Rewaayat me molaaheza farmaaya ke Mo'aawiya sab se bada kaafir hi nahi tha balke sab se bada khabees wa paleed bhi tha aur Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ka dushman number ek


Yahaan par ye baat bhi qaabile tawajjoh hai ke Mo'aawiya se kahne waala kaun hai ? Moghirah bin Shoba ye shakhs khud bada khabees aur zaani tha, Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ka dushman tha aur saqifa me wa Dokhtare Rasule Khoda (صلوات الله علیهم) ke ghar ko nazre aatish karne me pesh pesh tha ... aisa past aadmi Mo'aawiya ko nasihat kar raha tha, is se Mo'aawiya ki pasti ka andaaza lagaa'aen


Sunni bhaaeiyon ke bahot bade aalim aur seqah wa motabar raawi aur sunni mohaddeseen jaise Bokhaari aur Abu Daa'oud waghairah ke oustaad "Ali bin Jaad" ne Mo'aawiya ke baare me jo kaha molaaheza farmaa'aen :


"وَ سَمِعتُ اَبَا عَبدِ الله ، وَ قَالَ لَهُ دَلَّوَيه ، سَمِعتُ عَلِى بِنِ الجَعد يَقُول : مَاتَ وَاللهِ مُعَاوِيَة عَلَى غَيرِ الاِسلَام"


Sunniyon ke bade aalim Is'haaq bin Ibraahim ne naql kiya hai ke main ne Abu Abdullah (yaani Ahmad bin Hambal) se suna ke Dallawaih (Zeyaad bin Ayyub) ne oun se kaha :


main ne suna hai ke Ali bin Jaad kaha karte the :


"Khoda ki qasam mo'aawiya ghair islaam par mara"


(masaa'aelul imaam Ahmad bin Hambal ... Jild 2 safha 154 taalif Is'haaq bin Ibraahim bin Haani naishaaburi - naashir al-maktabul islaami Bairut)


baaz log "Ali bin Jaad" ke bayaan ka tarjoma karte hain ke "Allah ki qasam mo'aawiya islaam se khaarij ho kar mara" mere kheyaal me ye tarjoma bilkul ghalat hai is liae ke Ali bin Jaad ne kaha hai "ghair islaam par mara" is ka tarjoma "islaam se khaarij ho kar mara" nahi hai keyon ke Mo'aawiya ne islaam qabul hi nahi kiya tha ke islaam se khaarij ho


Sunniyon ke zabardast aalim "Ibne Abil Hadid raqam taraaz hain :


Beshak hamaare bahot saare as'haab ne Mo'aawiya ke deen par taana maara hai, ous ke din par taana zani ki hai aur ous ko faasiq wa badkaar qaraar dene par aektefaa nahi kiya hai balke ous ke baare me kaha hai ke wo mulhid tha, nabuwat par aeteqaad nahi tha aur ous ke aise kalaam aur alfaaz naql kiae hain jo ous ke be'deen, faasiq, mulhid aur munkire nabuwat hone par dalaalat karte hain


(Sharho Nahjil balaaghah jild 5 safha 129 - naashir daar aehya at'toraasul arabi)


Sab se aham baat ye hai ke Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ne Mo'aawiya ko qatl karne ka hukm diya tha


Nabi'ae Akram (صلی الله علیه و اله) ka farmaan is tarah hai :


" اِذَا رَأَیتُم مُعَاوِیَةَ عَلَی مِنبَرِی فَاقتُلُوهُ "


"jab Mo'aawiya ko mere mimbar par dekho to ous ko qatl kar do"


Sunniyon ki sirf 2 aham ketaabon ke hawaale :


  1. mizaanul aetedaal jild 1 safa 572, jild 2 safha 380 wa 613, jild 3 safha 277, taalif Shamsud'din Zahabi - naashir daarul maarefah Bairut

  2. tahzibut tahzib jild 8 safha 74 taalif Ibne Hajar Asqalaani

Taarikhi shawaahid aur sobut ke motaabiq Mo'aawiya madina gaya aur Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ke mimbar par baitha, Nabi'ae rahmat (صلی الله علیه و آله) agar kisi ke qatl ka hukm den to yaqinan wo murtad ya kaafir hai


jis shakhs ko hadis, taarikh aur olamaa ke aqwaal ka ilm ho aur munsif bhi ho to ous ke liae Mo'aawiya ka kufr aur fisq suraj se zeyaadah zaahir aur ayaan hai


Shia Mo'aawiya se andhi nafrat nahi karte balke ous ke kartut ke sabab ous se nafrat karte hain, agar aisa hota to Abubakr ka beta hone ke naate Janaab Mohammad bin Abi-bakr saahab se bhi nafrat karte haala'n ke aisa kuchh nahi hai wo shi'on ko dilo jaan se aziz hain


Beraadaraane sunni ki mota'adid sahihus'sanad rewaayaat aur ahaadis se Mo'aawiya ka kufr to saabit hi hai aur ous ka baaghi, taaghi, zaalim, mujrim, aur hokumat ka haris hona bhi saabit hai


In baaton ke peshe nazar Banu Omaiyya aur Mo'aawiya ke haami ye bataa'aen ke :


  1. Keya Rasule Khoda (صلی الله علیه و آله) ka dushman number ek aur jis ko qatl karne ka hukm diya ho aur jise apne mimbar par baithne ki aejaazat na di ho wo aap ka jaanashin ban sakta hai ?

  2. Keya sab se bada kaafir aur khabees wa palid, kaatibe wahi ho sakta hai ?

Aakhir kab tak tum log khud ko aur apni qaum ko dhoka do ge ?


Ay Ahlebaite Nabi (سلام الله علیهم) ke dushmano kuchh to khoda tarsi ka mozaahera karo


Aur ghayur sunniyon se kahun ga ke Mo'aawiya ke haami apne mulaa'on se puchho ke Mo'aawiya ki mohabbat me itne andhe keyon hain ke ous ki khaatir Rasule Khoda ke Ahlebait hatta Nabi'ae Karim (سلام الله علیهم) ko bhi chhod dete hain ?


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

Khaadim-e-edaara-e-darul itrat


21 / rajab / 1443 H.Q

subscribe us on youtube


this article translitrated by Saiyed Mohammad Tabish from urdu to roman urdu


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen