Sawaal az : beraadare mohtaram
Salam walikum janab khariyat se hain Janab Mera Ek Sawal hai Jawab mil sakta hai ummid karta hu inshallah 🙏 Mera Sawal Yeh hai ke agar shewat karne ke bad mani bistar pe ya Kambal pe aa jaye ya gir jaye us haalat me kya karen pura bistar dhona padega ya pochh den ya dhool ke kam chale ga meharbani kar ke jawab den shukriya Ws Salam
Syed ali Sistani sahab ki taqlid me hain ham
Mera naam show na kariyega
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
الحمد لله
agar mani ya khun ya paakhaana waghiyrah kambal ya bistar ya chaadar ( bedsheet ) ya razaa'ei ya toshak ya lehaaf ya kapde par lag jaa'ae to dhup lagne ya pochhne se paak na hoga balke paani se dhona pade ga
jis jagah najaasat lagi ho sirf ousi jagah ko dhona zaruri hai, baaqi jag'hon ko dhona zaruri nahi hai
Paak karne ki 2 suraten aur tariqe hain :
pahla tariqah :
jis jagah peshaab ke aelaawah mazkurah ya koei aur najaasat lagi ho to outne his'se ko mod kar pakad len aur najaasat ka asar dur wa zaa'ael karne ke baad baarish ke paani ya aab-e-kur ya jaari paani se aek baar is tarah dho'aen ke paani tamaam naa'paak jag'hon tak pahonch jaa'ae to najis jagah paak ho jaa'ae gi
Is tariqe ke motaabiq agar paani daalen to nichodna yaa hilaana yaa paani nikaalna wa juda karna ( ghosaalah nikaalna ) laazim nahi hai balke paani tamaam najis jag'hon tak pahonch jaa'ae yahi kaafi hai
Dusra tariqah :
Agar qalil paani ( jaiyse lote ya jug ya mug ya peyaale ... ) se dho'aen to najaasat ka asar dur wa zaa'ael karne ke baad jis jagah peshaab ke aelaawah mazkurah yaa koei dusri najaasat lagi ho to outne his'se ko mod kar pakar len aur ous par aek martabah aab-e-qalil is taur par daalen ke paani tamaam najis jagah tak pahonch jaa'ae aur ous se juda ho jaa'ae ( nikal jaa'ae ) masalan haath wa'ghairah se is tarah ragden ( رگڑیں ) ke paani nikal jaa'ae to najis jagah paak ho jaa'ae gi lekin is tariqe ke motaabiq paani daalen to aehteyaat ka taqaaza ye hai ke ous ko is tarah zarur dabaa'aen ya nichoden bhi ke ous ka ghosaalah nikal jaa'ae ( baahar aa jaa'ae )
TABSERAH :
-
Aab-e-kur :
Ous paani ko kahte hain jis ki meqdaar taqriban 384 liter ho, benaa'bar'ein tank ( ٹینکی ) ke paani ki meqdaar taqriban 384 liter ho to wo aab-e-kur hai, isi tarah ous se jude ( جڑے ) huae nalke / shower ka paani kur ke hukm me hai
Aur nal ka paani ( Tap Water ) bhi kur ke hukm me hai
-
Aab-e-qalil :
Ous paani ko kahte hain jo zamin se na phute aur ous ki meqdaar kur se kam ho
-
Aab-e-jaari :
Ous paani ko kahte hain jis ka mamba, chashma ya darya ya nahar ho aur jaari bhi ho yaani lagaa'taar bah raha ho
Boring se haasil hone waala paani bhi jaari ke hukm me hai ba'sharte ke lagaa'taar bah raha ho
is ke peshe nazar hand pipe ka paani aab-e-jaari nahi hai balke aab-e-qalil ke hukm me hai
-
ghosaalah (غسالہ) :
Kisi chiz ko dhote waqt yaa dhone ke baad khud-ba-khud yaa nichodne se aam taur par nikalne waala paani
- dhone ke baad agar najaasat dur ho ga'ei magar ous ka rang baaqi hai to ouse zaa'ael karna laazim nahi hai, wo paak hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime Edaara-e-Darul Itrar Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
2 / رجب / 1443 ھ.ق
◾ شب شہادت حضرت امام علی النقی ( ہادی ) علیه السلام ( ایک روایت کے مطابق ) ◾
subscribe us on youtubeRecommended
Mashallah jazakallah bht bht Shukriya
ReplyDeleteAlhamdolillah
DeleteIltemaase doa