Sawaal az : +9195088....
Salamun Alykm.
Kya ye waqeyah sahi hai ki Imam Ali (a.s) ne bachpane ki halat mein ek saap ko tukde tukde kar diya tha ?
Rewayat ki source aur uski sanad bataya jana zaroori hai agar ye waqeyah sahi hai.
Wassalam.
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
is waaqe'ah ka matn ketaabon me is tarah mazkur hai :
" أَنَسٌ عَنْ عُمَرَ بْنِ اَلْخَطَّابِ : أَنَّ عَلِيّاً رَأَى حَيَّةً تَقْصِدُهُ وَ هُوَ فِي اَلْمَهْدِ وَ شُدَّتْ يَدَاهُ فِي حَالِ صِغَرِهِ فَحَوَّلَ نَفْسَهُ فَأَخْرَجَ يَدَهُ وَ أَخَذَ بِيَمِينِهِ عُنُقَهَا وَ غَمَزَهَا غَمْزَةً حَتَّى أَدْخَلَ أَصَابِعَهُ فِيهَا وَ أَمْسَكَهَا حَتَّى مَاتَتْ فَلَمَّا رَأَتْ ذَلِكَ أُمُّهُ نَادَتْ وَ اِسْتَغَاثَتْ فَاجْتَمَعَ اَلْحَشَمُ ثُمَّ قَالَتْ كَأَنَّكَ حَيْدَرَةٌ "
Rewaayat ka tarjamah wa mafhum :
"Anas se marwi hai ke Umar Bin Khttaab ne kaha : jab hazrat Ali (عليه السلام) gahwaare me the to dekha ke aek saanp aap ki taraf dasne ke liae aa raha hai aap ki maadare geraami [hazrat Faatemah Binte Asad (سلام الله عليها )] ne aap ko ous chaude (چوڑے) kapde me lapet diya tha jo gahwaare me rakhte waqt bach'che ko lapet dete hain, hazrat Ali (عليه السلام) ne khud ko palat liya aur kapde se apne haath ko nikaala aur daahene haath se saanp ki gardan ko mazbuti aur aetne zor se pakda ke ous ke badan me oungliyaan (انگلیاں) dar aaein, saanp ko isi tarah roke rahe (pakde rahe) yahaan tak ke saanp mar gaya jab aap ki maadare geraami ne wo manzar dekha to madad ke liae pukaara aur faryaad ki to aap ke qaraabat'daar aur khidmat'gaar jama ho ga'ae phir aap ki maadare geraami ne farmaaya : goya aap (Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ghazab'naak sher hain"
(Manaaqebe aale abi taalib jild 2 p 287 - 288 fasl fi nawaaqezil aadaat minho - naashir daarul azwa / bahaarul anwaar jild 41 p 274 - 275 naashir moas'sasah al-wafa)
Aap ne marhab ke moqaabalah me ye rajaz padha tha ke "mai wo hun jis ka naam meri maa ne Haidar rakha hai" ye rajaz saanp ke mota'alliq mazkurah waaqeah ki taraf aeshaarah hai
saanp ko maarna aek taarikhi waaqe'ah hai is ki sanaden talaash karne ki zarurat nahi hai lehaaza agar ye waaqe'ah beghair sanad ke naql huaa hai to is ki haq'qaaniyat par asar andaaz nahi hoga keyon ke ye aap ki karaamaton me se aek hai, aap jaiyse wali, Imaam aur Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ke bar'haq wa bela fasl jaanashin se is tarah ki karaamat ka zohur khaarij az imkaan nahi hai, izne khoda se jis qism ka tasarruf karna chaahen kar sakte hain
dusre ye ke qaraa'aen aur shawaahid se bhi saabit hai, masalan aap ki shojaa'at ki koei nazeer nahi milti lehaaza aiysa karne me aap ke liae koei mushkil nahi hai
tisre ye ke Marhab ke moqaabale me is waaqe'aa ki taraf aap ne khud aeshaara farmaaya hai, is se bhi mazkura waaqe'aa ki taa'eid hoti hai
chauthe ye ke ye waaqe'ah khelaafe qur'aan nahi hai
paanchwe'n ye ke khelaafe aql bhi nahi hai
lehaaza is ko maanne me koei mushkil nahi hai
taarikhi waaqe'aat ko parakhne ke meyaar bataa'ae ga'ae hain is silsile me tafsili ketaabon me molaaheza farma len
Note :
dusra sawaal mustaqil wa juda hai lehaaza ous ka jawaab baad me diya jaa'aega انشاءالله
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofeed hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
13 / رجب / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment