Kaun si music halaal hai aur kaun si haraam ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, February 7, 2022

Kaun si music halaal hai aur kaun si haraam ?

sawaal az : ...


Sawal: kya music me bhi halal ya haram hota hai ? Agar music me bhi halal ya haram hota hai to hala music kise kehte hai ? aur haram music kise kehte hai ?

Taqleed Agha SISTANI hfzh.

Name or shaher ka name plz share mat kare.


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


Music ( mausiqi ) aek hunar aur fan hai, maujudah zamaane me bahot zeyaadah is ka rewaaj ho chuka hai


Ji, music ki baaz qism halaal hai ous ko sun sakte hain aur baaz qat'ei taur par haraam aur gunaah hai ous ko sunna jaa'aez nahi hai


lehaaza mokammal taur par music ki mokhtalif aur sab qismon ko na halaal kah sakte hain aur na hi haram, music ko yaksar na halaal qaraar diya jaa sakta hai aur na hi haraam


Halaal music :


wo hai jo lahw-o-laeib ( لهو و لعب ) yaani aiysho nosh aur aiy'yaash logon ki mahfilon, bazm aur ad'dah se ham'aahang na ho, oun ki mahfilon aur programme me raa'aej na ho aur ous se ta'alluq na rakhti ho chaahe aasaabi nezaam ke sokun ka baa'aes na ho


Misaal :


Qaumi taraane (national anthem), fauji parade (military parade), jangi, jangi marches (war marches) ki music aur inqelaabi wa ghamgin music ... aiysho nosh aur fah'haashi ki mahfilon se ham'aahang nahi hai, oun ki mahfilon wa bazm me raa'aej nahi hai aur fah'haashi ki bazm ke saath khaas nahi hai lehaaza in ko sun sakte hain


Haraam music :


wo hai jo aiysho nosh aur fah'haashi ki mahfilon wa bazm se ham'aahang ho, oun ki mahfilon me raa'aej ho aur oun se ta'alluq rakhti ho khaah jinsi jazbaat bhad'kaane ka baa'aes na ho


agar music bajaane ki kaiy'fiyat ( کیفیت ) aiysho nosh aur gaane bajaane ki mahfilon se ham'aahang ho ( jaiyse dance party'yon ... me bajaaei jaane waali music ) to haraam hai


Halaal aur Haraam music ki tash'khis kaiyse karen ?


Halaal aur Haraam music ko maalum karne ka tariqah ye hai ke khud sunne waala tash'khis kare ke fisq, maasiyat aur fah'haashi ki bazm wa programme me kaun si mausiqi ( music ) se istefaadah kiya jaata hai khosusan agar sunne waala fan'ne mausiqi se waaqif ho to jaanta hai ke kaun si music ay'yaash logon ke programme se ham'aahang hai aur kaun si nahi hai, kis music se istefaadah karte hain aur kis se nahi, kaun si fah'haashi ki bazm ke saath khaas hai aur kaun si nahi


Niche recommend ki gaei video dekhna wa jawaab padhna mofeed hai انشاءالله


  1. keya background music ke saath ash'aar | naat | qasida | nauha padhna | sunna jaa'aez hai ?


  2. keya ghena zena se zeyaadah shadid hai ? ghena aur music me farq | in ka hukm | hurmat ki hikmat

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran


5 / رجب / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube


🌹 روز ولادت با سعادت حضرت امام علی نقی ( ہادی ) عليه السلام ( ایک روایت کے مطابق ) 🌹

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen