اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں
بسم الله الرحمن الرحيم
Ek bakre ki kahaani khud us ki zabaani
Aap hazaraat ko maalum hoga ke bhediyaa aisa wahshi wa darinda jaanwar hai jo khaufnaak aawaazen nikaal kar dusron ko daraata hai aur apni zarurat ke liae kisi ki bhi Jaan le leta hai jab hamla wa shekaar karta hai to akele nahi karta balke eijtemaaei taur par gerohi karta hai
apni is rawish wa harbe (tactic) par amal karte huae ek bakre par hamla kar diya, ye bechaara bhaag kar ek aise shakhs ke paas gaya jis ke haath me chhuri (knife) wa khanjar tha
bakra sochne laga is ke paas khanjar hai meri hefaazat kare ga bhediyon ke hamle se bacha lega ye meri zindagi ka zaamin wa masiha hai lekin us shakhs ne bakre ke gale par chhuri chala di, bakre ne kaha mai to tumhen najaat dehinda samajh kar aaya tha lekin tum saffaak qas'saab nikle, insaani surat me bhediyaa ho tum
is waqt hamaare mulk ki haalat aur qissa dar asl aisa hi hai
police Ke lebaas me bhediyon ke hamlo se bachne ke liae agar koi wazir-e-aazam ya wazir-e-daakhela ya wazir-e-aala ... Ke paas jaa'ae to daastaan kuchh isi trah hai ye bhi be'rahm qasaaei hain insaani hoquq ki khelaaf warzi kar rahe hain is ke baawojud nedaamat ka koei ek qatra in ke maathe par nazar nahi aata
aiysi hokumat Wa khunkhaar bhediyon ke hamlo se bachne ke liae hamko wahi kaam karna hoga jiske zariae se bhediyon par qaabu paaya jaa sakta hai
bhediyaa aag wa dhuwan se bahot darta hai, is ko aag dekhaaei jaati hai to bhaag jaata hai, qarib nahi aata hai
ham ko bhi awaam ke sulagte masaa'ael ko le kar mash'al bardaar jolus nikaalna chaahiae ye hamara aaeini (qaanuni) haq bhi hai
agar bhediyaa ko pusht dekhaa'aen aur feraar karen to cheer phaad kar wo apna luqma bana leta hai, agar ham bhi zaalim hokumat ke khauf se bhaagen ge pichhe haten ge to ye ham ko apna loqma bana kar nigal jaa'ae gi
bhediyaa zaaeif wa kamzor par hamla karta hai aur us ka shekaar karta hai, agar ous ko maalum ho jaata hai ke ye qawi wa mazbut hai to hamla nahi karta hai, hamko bhi zaalim hokumat ke hamlon aur harbon se bachne ke liae khud ko qawi wa mazbut karna hoga
is ke mokhtalif tariqen hain, oun me se ek imaan ki taaqat hai
aal-e-imraan 139 me hai :
"himmat na haaro aur gham na karo ke tum hi ghaalib raho ge ba'sharte ke tum momeen ho"
hokumat ke makr-o-fareb wa qudrat aur wahshi wa bhediyaa sefat police ke hamlon se tumhare dilon me huzn-o-malaal wa gham na ho, apne azm wa aeraada me susti ko raah na do, agar tumne apne imaan me pokhtagi rakhi to tum hi ghaalib raho ge
insaan ke aamaal me imaan ka bohot bada asar hai, agar imaan ke sath moqaabala karo ge to ye saare bhediae wahin bhaag jaa'aen ge janhaa se aaye hain yaani jangle (jungle), phir mulk me jangle raaj khatam ho jaa'ae ga
"himmate mardaan madade khoda"
kaam me koshish shart hai, khoda zarur madad deta hai
aksar kaam shoru me mushkil nazar aate hain magar himmat se aasaan ho jaate hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat
5 / jomaadioul'oula / 1441 H.Q
🌹roz-e-welaadate aqila-e- bani haashim janab-e-zainab salaamullah alaiha🌹
this article translitrated by "Saiyed Md Tabish" from urdu to roman urdu
No comments:
Comment