Umar ka auraton par zulm-o-zeyaad'ti karna (part-2) - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Saturday, January 29, 2022

Umar ka auraton par zulm-o-zeyaad'ti karna (part-2)

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحيم

ياصاحب الزمان ادركنا


Umar ka auraton par zulm wa zeyaadati karna


Ghar me ghus kar apni bahen ko maarna pitna


is se pahle aadhi raat me apni biwi ko maarne peetne ka waaqe'aa bataaya tha


Aaj main aap ko bataaunga ke Umar ne apni bahen ko kis tarah maara peeta, molaaheza farmaa'aen :


Anas Bin Maalik se rewaayat hai ke :


" خَرَجَ عُمَرُ مُتَقَلِّدًا السَّيْفَ، فَلَقِيَهُ رَجُلٌ مِنْ بَنِي زُهْرَةَ، فَقَالَ لَهُ: أَيْنَ تَعمِدُ يَا عُمَرُ؟ فَقَالَ: أُرِيدُ أَنْ أَقْتُلَ مُحَمَّدًا قَالَ: وَكَيْفَ تَأْمَنُ مِنْ بَنِي هَاشِمٍ، وَبَنِي زُهْرَةَ، وَقَدْ قَتَلْتَ مُحَمَّدًا؟ قَالَ: فَقَالَ لَهُ عُمَرُ: مَا أَرَاكَ إِلَّا قَدْ صَبَوْتَ وَتَرَكْتَ دِينَكَ الَّذِي أَنْتَ عَلَيْهِ قَالَ: أَفَلَا أَدُلُّكَ عَلَى الْعَجَبِ، إِنَّ خَتَنَكَ وَأُخْتَكَ قَدْ صَبَوَا وَتَرَكَا دِينَكَ الَّذِي أَنْتَ عَلَيْهِ قَالَ: فَمَشَى عُمَرُ ذَامِرًا حَتَّى أَتَاهُمَا، وَعِنْدَهُمَا رَجُلٌ مِنَ الْمُهَاجِرِينَ يُقَالُ لَهُ خَبَّابٌ قَالَ: فَلَمَّا سَمِعَ خَبَّابٌ بِحِسِّ عُمَرَ تَوَارَى فِي الْبَيْتِ، فَدَخَلَ عَلَيْهِمَا، فَقَالَ: مَا هَذِهِ الْهَيْنَمَةُ الَّتِي سَمِعْتُهَا عِنْدَكُمْ؟ قَالَ: وَكَانُوا يَقْرَءُونَ: طه فَقَالَا: مَا عَدَا حَدِيثًا تَحَدَّثْنَاهُ بَيْنَنَا. قَالَ: فَلَعَلَّكُمَا قَدْ صَبَوْتُمَا، فَقَالَ لَهُ خَتَنُهُ: يَا عُمَرُ إِنْ كَانَ الْحَقُّ فِي غَيْرِ دِينِكَ؟ قَالَ: فَوَثَبَ عُمَرُ عَلَى خَتَنِهِ، فَوَطِئَهُ وَطْئًا شَدِيدًا. قَالَ: فَجَاءَتْ أُخْتُهُ لِتَدْفَعَهُ عَنْ زَوْجِهَا، فَنَفَحَهَا نَفْحَةً بِيَدِهِ، فَدَمِيَ وَجْهُهَا ... "


Mazkura baala rewaayat aur dusri rewaayaat ka khulaasa :


"Ek roz Umar gardan me talwaar latkaa'ae huae apne ghar se nikle, raaste me Banu Zohra se ta'alluq rakhne waala ek shakhs mila, jis ne puchha ke ay Umar kahaa'n ka aeraada hai ? Umar bole Mohammad ko qatl karne jaa raha hun is liae ke ounhon ne na'ae din ka aelaan kar ke makka waalon me tafriq kar di hai aur saare Arab me fitna macha rakha hai


to ous shakhs ne kaha ke : agar tum ne Mohammad ko qatl kiya to keya Bani Haashim aur Bani Zohra tum se inteqaam nahi le'n ge ? Umar ne kaha lagta hai tum ne bhi apna din tabdil kar diya hai aur na'ae din me shaamil ho chuke ho is par ous shakhs ne kaha ek baat kahun to ta'ajjub wa hairaani hogi ke khud tumhaare bahnoei aur bahen ne tumhaare din ko tabdil kar ke Islaam qabul kar liya hai


Umar nehaayat ghaiz wa ghazab ke aalam me ( aur dhamki dete huae ) apni bahen ke ghar ki jaanib chal pade. oun ke paas ( ghar me ) mohaajerin me se ek shakhs "Khab'baab" tha, jab "Khab'baab" ne Umar ke qadmo'n ki aahat suni to ghar me chhup ga'ae

bina kisi aejaazat ghar me diwaana'waar daakhil hote hi Umar ne kaha : "ye keya sargoshiyaan ho rahi thi'n jis ko main ne suna"

dar'asal ous waqt ghar me ye log surah "Taaha" padh rahe the


Umar ko daakhil hote dekh kar dono ( bahen, bahnoei ) saham kar rah ga'ae


bahen aur bahnoei ne kaha : ham aapas me baaten kar rahe the Umar ne kaha : shaayad tum dono ne din tabdil kar diya hai, is par bahnoei ne kaha : ay Umar agar haq wa haqiqat tere din ke aelaawa kisi aur din me ho to ?


bas ye sunna tha ke Umar ghosse se aape me baahar ho ga'ae aur bahnoei par jhapat pade, de maara zamin par aur paa'on se raundne wa kuchalne lage, bahen ne apne shauhar ko chhodaana chaaha to Umar ne apni bahen ko bhi bahot zad wa kub kiya, yahaan tak ke wo bahot zakhmi ho gaein, haathon se khun ka fauw'waarah jaari ho gaya, zakhmon se khun ras ras kar lebaas me jazb ho kar tapakne laga aur tamaanche is shiddat se rasid kiae ke chehra lahu lahaan ho gaya ... "


Is ke baad hai :


Umar Islaam laane ke liae Rasul-e-Khoda ke paas aa'ae to :


" كَانَ رَسُولُ الله فِى الدَّارِ ... وَ عَلَى بَابِ الدَّارِ حَمزَة، وَ طَلحَه، وُ نَاس مِن اَصحابِ رَسُولِ الله ... "


" Rasule khoda apne ghar me the ... aur ghar ke darwaaze par Hamza, Talha aur as'haabe Rasule khoda me se log the ... "


Beraadaraane Sunni ki sirf 3 motabar ketaabon ka hawaala :


  1. dalaa'aelun nobuwat jild 2 safha 219 taalif abu bakr bayhaqi

  2. at'tabaqaatul kubra jild 3 safha 267-268 taalif ibne saad

  3. taarikhe islaam jild 1 safha 174-175 taalif shamsud'din zahabi

is hawaale se ek dusri rewaayat peshe khidmat hai :


... Qais ne kaha ke main ne Sa'eid Bin Zaid ( Umar ke bahnoei ) se suna ke :


" ... يَقُولُ لِلقَومِ : لَو رَاَيتُنِى مُوثِقِى عُمَرُ عَلَى الاِسلَامِ اَنَا وَ اُختُهُ وَمَا اَسلَمَ ... "


" ... ounhon ne musalmaano ko mokhaatab kar ke kaha ek waqt tha ke Umar jab Islaam me daakhil nahi huae the to mujhe aur apni bahen ko is liae baandh rakha tha ke ham Islaam keyon laa'ae ..."


( sahih bokhaari jild 5 safha 126 ketaab : ansaar ke manaaqib - baab 97 umar bin khat'taab ke islaam laane ka waaqe'aa - naashir daarul qalam beirut )


tawajjoh farmaa'aen Umar ne na sirf ye ke bahen aur bahnoei ko be'tahaasha maara peeta balke baandh bhi rakha tha


mazkura waaqe'aa ke peshe nazar Umar ko khalifa maan'ne waalon se chand sawaalaat hain in ka jawaab motabar dalil ke saath chaahiae :


  1. aap logo'n ne is waaqe'aa ka zikr Umar ke manaaqib wa fazaa'ael me kiya hai, keya aap ke nazdik Rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ko qatl karne ka aeraada karna Umar ki fazilat hai ?

  2. is waaqe'aa ko Umar ki shojaa'at wa bahaaduri ke taur par bayaan kiya jaata hai, keya ye shojaa'at hai ya buzdili aur kamzori ?

  3. musalmaan bahen aur bahnoei ko be'dardi se maarna aur baandh kar rakhna fazilat hai ? Ya insaaniyat ke saath zulm ?

  4. keya Daa'aeshi ... darindagi ke pichhe Omari bar'bariyat nahi hai ? is liae ke Daa'aesh ... ne kaha tha ke hamaari hokumat wa khelaafat ke liae ideal Abu Bakr, Umar aur Usmaan hain

  5. aap log kahte hain ke pahle makaan ka darwaaza nahi hota tha is liae dokhtar-e-Rasule-khoda hazrat Faatema ( سلام الله عليهم ) ke dar ko nazre aatish karna afsaana wa shi'on ka jhut hai


    mazkura waaqe'aa to hazrat Zahra ( سلام الله علیها ) ke dar ko nazre aatish karne ke pahle ka hai ous me to dar ka zikr hai


    likha hai Rasule Khoda ( صلى الله عليه وآله ) ke darwaaze par kuchh log the keya pedar ke ghar ka darwaaza tha lekin dokhtar-e-Rasul-e-khoda ( صلوات الله عليهم ) ke makaan ka dar nahi tha ? jab ke ghar ko nazre aatish karna baad ka waaqe'aa hai


Tabserah :


baaz kath'mulla kahte hain Umar ne bahen aur bahnoei ko ous waqt maara jab Umar kaafir aur mushrik the

aaeinda arz karunga ke khalifa banne ke baad bhi apni darindagi se baaz nahi aa'ae


( Jaari / to be continued... )


Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat


26 / جمادی الثانى / 1443 ھ.ق


Translitrated by Syed Md Tabish from urdu to roman urdu

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen