اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں
بسم الله الرحمن الرحيم
ياصاحب الزمان ادركنا
Biwi khud ko shauhar ke saamne kaise pesh kare
Islaam me biwi aur shauhar ke kuchh hoquq hain shauhar apni biwi ke tamaam hoquq adaa karne me kotaahi na kare isi tarah biwi apne shauhar ke tamaam hoquq adaa karne me kotaahi na kare
Hoquq me se biwi ka ye haq hai ke shauhar ous ke bistar ka haq ada karta rahe aur ous ki fitri khaahish puri kare
aur shauhar ka ye haq hai ke jab bhi soh'bat karne ki khaahish kare to biwi bela kisi ouzre shar'ei mana na kare
Miyan biwi ke darmeyaan aekhtelaaf aur ta'alluqaat kharaab ho jaane ki bahot si wojuhaat hoti hain, jin me se ek wajah yahi hai ke miyan biwi ek dusre ki khaahish puri nahi karte aur ek dusre ke jazbaat wa aehsaasaat ka lehaaz wa kheyaal nahi rakhte
Haqir se makhsus sawaalaat karte waqt shikwa ke taur par is baat ka eiz'haar dono (khaawand wa biwi) karte hain
roze maadar wa zan ke pur-mosar'rat mauqe par khush'gawaar zindagi basar hone aur shauhar ko khush karne ka ek behtarin nuskha khaaharaane geraami ki khidmat me pesh karte hain molaaheza farmaa'aen :
Rasul Khoda (صلى الله عليه وآله) ka irshaade geraami hai :
" لاَ يَحِلُّ لِاِمرَأَةٍ اَن تَنَامَ حَتَّى تَعرِضَ نَفسَهَا عَلَى زَوجِهَا، تَخلَعَ ثِيَابَهَا، وَتَدخُلَ مَعَهُ فِى لِحَافِهِ فَتُلزِقَ جِلدَهَا بِجِلدِهِ فَاِذَا فَعَلَت ذَالِكَ فَقَد عَرَضَت نَفسَهَا "
" aurat ke liae jaa'aez (shaa'eista wa sazaawaar) nahi hai ke so'ae magar ye ke (sone se pahle) khud ko shauhar ke saamne pesh kare (kis tarah pesh kare ?) apne kapdon ko utaar de, aur shauhar ke lehaaf (ya odhne ka kapda jaise kambal aur chaadar waghairah) me jaa'ae aur apni khaal (badan) ko shauhar ki khaal (badan) se chipkaa'ae jab bhi aisa kiya to beshak khud ko shauhar ke saamne pesh kiya hai "
(makaaremul akhlaaq safah 238 baab 8 fasl 10 taalif razi'ud'din tabrasi)
Mazid maalumaat ke liae niche recommend ki gaei "Asr-e-haazir aur family masaa'ael" ki video series dekh len
Iltemaase doa
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat Qumul moqaddas / Iran
20 / jomaadi'us'saani / 1443 H.Q
Roze welaadat baa sa'aadat hazrate Zahra (سلام الله عليها) aur roze maadar wa zan
Translitrated by Syed Md Taabish from urdu to roman urdu
No comments:
Comment