Sawaal az: mohtaram janaab Abid razavi / sb
Salamun alaikum Maulana sahab aap se ye poochhna chahta hoon ki imaam Husain ka roza sabhi jagah banwaya jata magar imam Hasan a s ka roza kyun nahi banwaya jata pls mujhe jawab dijiyega
aur is ka jawab MAKKAH GROUP me bhi post kariyega.
Abid Rizvi
Jeddah (SAUDI ARAB)
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Rauza-e-mobaarak ki shabih banaate hain, zaahir hai jab asl rauzah hoga tabhi to ous ki shabih banaaei jaa'ae gi lehaaza shaayad is ki wajah ye ho ke imaam Husain ( عليه السلام ) ka rauza-e-mobaarak hai is liae ous ki shabih banaate hai lekin imaam Hasan ( عليه السلام ) ka rauzah nahi hai ( khabees wahaabiyon ne "Jan'natul Baqi" me bane gumbad waghaiyrah ko mismaar kar diya aur taamir ki aejazat bhi nahi dete ) is liae ous ki shabih nahi banaate hain
Tabserah :
Rauza-e-mobaarak ki shabih wa naql banaate hain taake momeneen sawaab ki niyat se shabih ki zeyaarat karen
lekin yaad rahe ke haram wa rauze ki shabih wa nazeer ko asl haram wa rauzah ka darjah haasil nahi hota
aelaawah az ein shar'ei ahkaam ke ta'alluq se rauze ki shabih par asl rauze ka hukm jaari wa laagu na hoga
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
21 / جمادي الثانى / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment