keya naak ki kil aur menhdi ka shomaar zinat me hai ? | ghair mahram se chhupaana waajib hai ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Friday, January 14, 2022

keya naak ki kil aur menhdi ka shomaar zinat me hai ? | ghair mahram se chhupaana waajib hai ?

Sawaal az : mohtaram janaab Nasir Abbaas sb / Madagascar


Salamun alikum


Bad az arze salam-o-khaste na bashid

In sawalo ke jawabat matlub hain


india me aurte shadi ke baad naak me kil aur hatho me mehdi laga ke rakhti hain

kya ye zeenat me shumar hoga aur na mahram se chupana wajib hai ?


Wassalam

Syed Nasir Abbas Madagascar (East Africa)


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar deen'daar aur paabande shar ( پابندِ شرع ) ke ourf ki nazar me zinat wa aaraa'eish shomaar ho ya ghair mahram ki tawajjoh markuz wa haasil kare to zaruri hai ke naa mahram se chhupaa'ae


Note :


  1. zinat wa aaraa'eish ki tashkhis ourf ki nazar par mauquf ( موقوف ) hai

  2. is ke pahle aap ke aek sawaal ka jawaab diya jaa chuka hai tisre sawaal ka mauzu bhi alag wa mustaqil hai lehaaza ous ka jawaab baad me diya jaa'ae ga انشاءالله
  3. ( maazerat )


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


  • keya menhdi ( rang ) lagaana sirate maasumeen hai ? | maula keyaun nahi lagaate the | aurar shauhar ke liae ladki rishte aane ke liae khezaab lagaae | kaunsa rang behtar hai ?

  • والسلام

    Syed Shamshad Ali Katokhari

    khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


    11 / جمادى الثانى / 1443 ھ.ق

    subscribe us on youtube

    No comments:

    Comment

    .
    WhatsAppWhatsApp par sawaal karen