Ghair muslim ladki musalmaan ho jaa'ae to keya apni marzi se nekaah kar sakti hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, January 30, 2022

Ghair muslim ladki musalmaan ho jaa'ae to keya apni marzi se nekaah kar sakti hai ?

Sawaal az : mohtaram janaab syed nasir abbaas sb / madagascar ( Africa )


Salamun alikum

Mizaaje aali


Mera sawaal ye hai ke 1 shia isna ashri ladka 1 masihi ladki ke sath 10 saal se aqde moaqqat me hai ab wo aqde daaemi karna chahta hai (jo ab musalmaan ho chuki hai) to kya nikah padhne ke liye ladki ke baap ki ijazat zaruri hai ladki ka baap masihi hai ?

Shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

الحمد لله


agar ladki musalmaan ho gaei to apne masihi baap se aejaazat lena zaruri nahi hai, aekhteyaar khud ladki ke haath me hai


( ba motaabiq fatwa aayatullah sistaani )


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


keya ous aurat se daa'aemi aqd karna jaa'aez hai jis se aarezi shaadi ki thi ?


والسلام

Syed Shamshad Ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


26 / جمادى الثانى / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen