Umar ka auraton par zulm-o-zeyaad'ti karna (part-1) - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Wednesday, January 12, 2022

Umar ka auraton par zulm-o-zeyaad'ti karna (part-1)

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحيم

يا صاحب الزمان ادركنا


Umar ka auraton par zulm-o-zeyaad'ti karna


Nisf raat me apni biwi ko maarna pitna


" ... اَلاَشعَثِ بِن قَيسٍ قَالَ : ضِفتُ عُمَرَ لَيلَةََ فَلَمَّا كَانَ فِى جَوفِ اللَّيلِ قَامَ اِلَى اِمرَأَتِهِ يَضرِبُهَا فَحَجَزتُ بَينَهُمَا فَلَمَّا أَوَی اِلَى فِرَاشِهِ قَالَ لِى : يَا اَشعَثُ احفَظ عَنِّى شَيئاََ سَمِعتُهُ مِن ( عَن ) رَسُولِ الله صلى الله عليه وسلم " لَا يُسأَلُ الرَّجُلُ فِيمَ يَضرِبُ اِمرَأَتَهُ ... "


"Ash'as bin Qais kahte hain ke main aek raat Umar ka mehmaan hu'aa, jab aadhi raat huei to wo apni biwi ko maarne lage, to main oun dono ke bich haa'ael ho gaya, jab wo apne bistar pe jaane lage to mujh se kaha : ay Ash'as wo baat jo main ne Rasule Khoda se suni hai tum ouse yaad kar lo : "Shauhar apni biwi ko maare to qeyaamat ke din ous se is silsile me sawaal nahi kiya jaa'ae ga (ke keyon apni biwi ko maara) ... "


Beraadaraane Sunni ki sirf do motabar ketaab ka hawaala :


  1. sonan ibne maaja jild 1 safha 639 ketaabun nekaah baab : auraton ko maarne pitne ke hukm ka bayaan

  2. al'mustadarak alas'sahihain jild 4 safha 194 taalif Haakim Naiyshaaburi


    Haakim Naiyshaaburi likhte hain ye wo hadis hai jis ki asnaad sahih hain


Umar ko Khalifa maan'ne waalon ke liae lamha'ae fikriya hai aur oun se tin sawaal bhi :


  1. keya shauhar apni biwi par belaa wajah zulm karne ka akhlaaqi, insaani aur islaami haq rakhta hai ?

  2. is hadis ke peshe nazar mo'aashare me islaami nezaame adl ka nefaaz karna Umar jaise hukm'raan se kis tarah mumkin tha ?

  3. Apni biwi ko maare to qeyaamat ke din is baare me sawaal nahi kiya jaa'ae ga keya apne zulm ki taujih karne ke liae ye Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ki taraf jhuti nisbat nahi hai ?

(Jaari / to be continued...)


dusra hissa padhne ke liae click here


Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat


10 / jomaadi'yus'saani / 1443 H.Q


Translitrated by Syed Md Tabish from urdu to roman urdu

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen