Sawaal az : mohtaram janaab tanvir ali sb / delhi
Corona ke is daur mein agar kisi mareez ke jism se jinsi shay kharij ho jaye sone ke dauran to wo kaise phir namaz dua aur dosre amal ko kare ?
Nahana agar mumkin na ho phir kaise kya kare ?
Khaas kar ke agar wo pardes mein ho jahan mitti ka milna mumkin na ho ?
Apke jawab ka muntazir
Kya uske paak hone ke baad koi kaffara ?
Najasat wali jagah ki safai laazim hai ?
Taimum ke liye agar mitti maujud nahin ?
Kya deewal par ? tiles par ? saaf kapde par kar sakte ?
Kisi mard e momin ka sawal hai jo mujhe lagta hai ki is daur mein janna sabko laazim chaiye
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
doa aur zeyaarat aur waajib sajde waali aayaton ke aelaawah qur'aan kareem padhne ke liae ghusl zaruri nahi hai ghusl ke be'ghair bhi padh sakte hain
namaaz ke liae kapde aur jism ka paak hona zaruri hai lehaaza pahle najis jagah ko paak karen phir namaaz padhen
namaaz padhne ke liae ghusle janaabat karna zaruri hai agar ghusl karna momkin na ho to tayam'mum kar ke namaaz padhen
agar mit'ti na ho to aiysi ret ( ریت ) par tayam'mum karen jis par khaak saadiq aa'ae ( yaani jis ko khaak kaha jaa'ae ) agar ret par karna momkin na ho to mit'ti ke dhelon ( ڈھیلوں ) par karen agar is par bhi momkin na ho to baalu par karen aur agar baalu wa mit'ti ke dhele na hon to pat'thar ( پتھر ) par tayam'mum karen lekin aehteyaate waajib ye hai ke pat'thar par gard-o-ghobaar ( گرد و غبار ) ya narm khaak aetni ho ke haathon par chipke ( yaani lage )
diwaar par tayam'mum karne ke liae dekhna hoga ke diwaar kis chiz se bani hai ?
agar aiysi chiz se bani hai jis par tayam'mum karna sahih hai jaiyse kach'chi mit'ti ya pokhtah eint to diwaar par bhi kar sakte hain lekin agar mit'ti ya pokhta eint se bani hai aur ous par plastic ya lakdi laga di gaei ho ya ous par oil paint ya waterproif paint ya rang ho to nahi kar sakte hain
agar diwaar par cement ka plaster ho chaahe cement safed ya kaali ho ya tiles ya mosaic ho to ous par bhi tayam'mum karna jaa'aez hai lekin aehteyaate waajib ke taur par ous par aetni gard-o-ghobaar ho ke haaton par chipke ( lage )
kapdon ya is ke maanind chizon par agar dhul wa ghobaar jama hai aur ye dhul wa ghobaar aetna jama ho ke ourf ki nazar me ous ka shomaar narm khaak me ho ( yaani ourf ki nazar me is meqdaar me ho ke log ous ko khaak samjhen ) to ous kapde ... par tayam'mum jaa'aez wa sahih hai
paak hone ke baad koei kaf'faarah nahi hai
( ba'motaabiq mas'alah aayatullah sistaani )
ach'cha ye hai ke "tauzihul masaa'ael" me ghusle janaabat aur tayam'mum ka bayaan ach'chi tarah padh len
Niche recommend kiae ga'ae jawaab padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
6 / جمادى الثانى / 1443ھ.ق
No comments:
Comment