Sawaal az : mohtarama janaab Aarifa shabnam sb (Varanasi)
Assalam o alaikum
sawal hai mera
Zeyarat ashoora zaroori hai ki zer-e-aasman hi padha jaaye agar mumkin na ho to kya hum room ke andar hi qibla roo padh sakte hai
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Mokhtasar jawaab :
zaruri nahi hai, kamre ke andar padh sakte hain qibla ru hona bhi zaruri nahi hai
Qadre tafsili jawaab :
maasumeen (سلام الله عليهم) ki zeyaarat do tarah ki hai, aek wo jo jaa kar haram me yaani nazdeek se padhi jaati hai
dusri wo hai jo dur se padhi jaati hai agar koei momin masalan masaafat ki duri ya aeqtesaadi mushkelaat ya in dino corona ke sabab nahi jaa paa raha hai to dur se padhe
in dono zeyaaraton ke liae kuchh aadaab bayaan kiae ga'ae hain oun aadaab ki reaayat karna zaruri wa laazim nahi hai lekin agar oun aadaab ki reaayat karte huae padhi jaa'ae to zeyaarat ka sawaab bahot badh jaata hai
dur se padhi jaane waali zeyaarat ke aadaab me se qibla rukh aur baland jagah par padhna hai
misaal ke taur par sirf aek rewaayat molaaheza farmaa'aen :
Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :
"اِذَا بَعُدَت بِاَحَدِكُمُ الشُّقَّةُ وَنَأَت بِهِ الدَّارُ فَليَصعَد اَعلیٰ مَنزِلِهِ فَليُصَلِّ رَكعَتَين وَ لَيَؤُمَّ بِالسَّلَامِ اِلَى قُبُورِنَا فَاِنَّ ذَالِكَ يَصِلُ اِلَينَا "
"jab bhi tum me se kisi aek par (zeyaarat) sakht wa dushwaar ho aur ghar bhi dur ho (yaani nazdik se nahi padh sakte hain) to apne ghar ki sab se baland jagah (jaiyse chhat) par jaa'ae aur 2 rak'at namaaz padhe aur salaam (zeyaarat) ke zariae hamaari qabron ki taraf aeshaarah kare, be'shak ous ka salaam ham tak pahunche ga
(manlaa yahzarohul faqih jild 2 p 361 baab 220)
hat'ta Shaikh Mofeed, Shahide Auw'wal aur Syed ibne Taa'ous (رحمهم الله) jaiyse azeem olamaa ne farmaaya hai ke :
"madina-e-tay'yebah ke aelaawah kisi aur jagah se Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ki zeyaarat padhna chaahe to qabre Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ki shabih apne saamne banaa'ae aur ous par aap ka isme mobaarak likhe aur apne dil ko Nabi-e-kareem (صلى الله عليه وآله) ki taraf motawaj'jeh kar ke zeyaarat padhe"
[mafaatihul jenaan zeyaarate hazrate rasul (صلى الله عليه وآله) az baeid )
isi tarah dusre maasumen (عليهم السلام) ki zeyaarat padhen to behtar hai
aadaab ki reaayat karte huae zeyaarat padhne ki hikmat ye hai ke bahot zeyaadah sawaab ke aelaawah ruh par taaseer zeyaadah hoti hai
Niche di gaei video dekhna wa recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofeed hai انشاءالله
Zeyaarate Aashurah ki wazaahat
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
26 / جمادى الاولى / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment