Sawaal az : mohtaram janaab Syed Raza Ali Sabzwari sb
As Salaam Alaikum Wa Rahmatullah'eWa Barakatoh'u.
Mera sawaal yeh hai kay Wilayat e Faqih ki Ahadees e Ahlebayt (asws) aur Ayaat e Quraani (Tafseer e Masoom asws kay saath) kya koyi Wazeh daleel hai ? Aur Taqleed Waajib hai aysa kaisey hai ? Masoom (asws) ka Hukm toh Ruju sey hai. Taqleed Waajib kaisey hui ? Hum Ahadees kay ba jaaye bina Ahadees kay chapi Tauzih ul Masael par amal kis basis par karein khaas kar tab jab Marajo'n ki aapas mein hi masael ko lekar Na ittefaqiyaan hain ? Ayse mein kaun sahih aur kaun ghalat ?
Muntazir.
Regards,
Syed Raza Ali Sabzwari. | ali133....@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته
welaayate faqih aek alag, mustaqil aur eilmi mauzu hai mokhtasar alfaaz aur tahrir me jawaab dena mushkil hai
is mauzu par mota'ad'did ketaaben tasneef ki gaei hain lekin wo sab arabi aur faarsi zabaan me hain, imaame khomaiyni ( رضوان الله تعالى عليه ) ki ketaab "welaayate faqih" ka urdu me tarjamah banaame " hokumate islaami " hai is ketaab ka ba'ghaur motaa'la'ah kar len
baqiyah sawaalaat ke jawaab niche di gaei video me molaaheza farma len wa niche recommend kiae ga'ae jawaab ko bhi padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat AzimAabaad / patna-shoba-e-sawaalaat Qum / iran
1 / جمادى الاولى/ 1443ھ.ق
No comments:
Comment