Sawaal az : khaahare geraami / Varanas
Assalam o alaikum
Jis shakhs se muta kiya gaya ho kya uss shakhs se dubara dayemi nikah kiya ja sakta hai
mera naam show na kariyega
Taqlid : aayatullah Sistani sb
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
mard ous aurat se apna daa'aemi aqd kar sakta hai jis se mut'ah ( aarezi wa waqti shaadi wa nekaah ) kiya tha chaahe abhi eid'dat ki mud'dat khatm na huei ho ( yaani na guzri ho ) yaa eid'dat ki mud'dat ke andar dobaarah mut'ah bhi kar sakta hai lekin agar abhi waqti shaadi ki mud'dat mokammal nahi huei to ous mud'dat ke andar daa'aemi nekaah karna jaa'aez nahi hai agar daa'aemi nekaah kar liya to baatil hai albatta agar baaqi maandah mud'dat aurat ko bakhsh de to is surat me daa'aemi aqd kar sakta hai
والسلام
Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
22 / جمادى الاولى/ 1443 ھ.ق
No comments:
Comment