Sawaal az : mohtarama janaab madiha batool sb (Pakistan)
Assalam o alaikum
Sawaal ye hai ke jis room mai pic hang ho kya namaz nahi padh sakte waha ?
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسین
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Mokhtasar jawaab :
ji, padh sakte hain namaaz sahi hai baatil nahi hai lekin makruh hai
Qadre tafsili jawaab :
chand jag'hon par namaaz padhna makruh hai oun jag'hon me se man'darja zail 2 maqaamaat hain :
- jaan'daar wa zi'ruh ( jaan rakhne waale ) jaiyse insaan ( chaahe aalim aur marja hon ya Aam insaan ) aur haiywaanaat ke mojas'same aur tasweer ke saamne ( namaaz padhna makruh hai ) chaahe zi'ruh chiz zindah ho ya murdah
-
jis maqaam par ( masjid ho yaa masjid ke aelaawah koei dusri jagah ) yaa jis kamre ke andar jaan'daar wa zi'ruh ki tasweer yaa mojas'samah laga ho yaa latka ho chaahe namaazi ke saamne na ho jahaan kahin bhi ho ( to ous maqaam par yaa kamre ke andar namaaz padhna makruh hai
jis maqaam par yaa kamre me tv khula ho yaa aiysa aquarium ( zindah machh'li aur paani ke andar rahne waale jaanwaron ko rakhne ke liae aek tank yaa paani se bhara huaa katora ) ho jis ke andar haiywaanaat hon yaa diwaar waghaiyrah par zi'ruh ke naqsh-o-negaar bane hon yaa bach'che ke khelaune jaiyse bhaalu, ghoda, totaa waghaiyrah pade hon
yaa eisaale sawaab ki ketaabon par marhumin ki tasaaweer hon
yaa aiyse akh'baar hon jis me zi'ruh ki tasweeren hoti hain
to in sab ( jo oupar bayaan kiya gaya ) ke saamne namaaz padhna makruh hai baatil nahi hai balke sahi hai
Aa'einah yaa shishe ke saamne namaaz padhna kaiysa hai ?
Aa'einah ho yaa shishe jude ( جڑے ) hon ous ke saamne bhi namaaz padhna makruh hai baatil nahi hai
yaad rahe ke sababe karaahat aa'einah yaa shisha nahi hai balke tasweer wa surat aur shakl hai jo nazar aati hai
karaahat se moraad :
yahaan makruh se moraad sawaab ka kam hona hai
karaahat ka aezaalah :
ba'waqte namaaz oun ko hata de yaa oun tasaaweer aur mojas'same ... par koei kapda waghiyrah daal de ke tasweer aur mojas'samah ... chhup jaa'ae aur nazar na aa'ae, to ab namaaz padhna makruh nahi hoga
ye tamaam tafsil jaan'daar wa zi'ruh ki tasweer aur mojas'same ... ki hai
agar kisi maqaam par yaa kamre ke andar mojas'samah aur tasweer ... ghair jaan'daar wa be'jaan ( jaiyse pahaad, darya, kash'ti, darakht, phul, pat'ti aur makaan wa'ghairah ) ki ho yaa in ke naqsh-o-negaar bane hon yaa khud phul waghiyrah ka darakht aur gul'dastah ho to ous ke saamne yaa ous kamre me namaaz padhna makruh nahi hai
Makruh hone ki hikmat aur eil'lat :
namaaz me hozure qalb aur khoshu wa khozu aham hai, namaazi ki tawaj'joh sirf khoda ki taraf ho, zaahir hai jis jagah jaan'daar ki tasweer yaa mojas'same ... hon to namaazi ki namaaz me khalal hota hai, tasweeron yaa mojas'samon ... ki taraf zehn muntaqil hota hai aur namaazi ka dhayaan wa tawaj'joh ous jaanib jaati hai aur khoshu wa khozu me farq aata hai ... eisi liae jis maqaam par yaa kamre me tasweer yaa mojas'same ... lage hon wahaan namaaz padhna makruh hai
in hi baaton ke peshe nazar rewaayaat me kaha gaya hai :
mustahab hai ke ghar me aebaadat aur namaaz padhne ke liae bhi aek jagah yaa goshaah hona chaa'hiae, aek kamrah yaa goshah makhsus aebaadat wa namaaz ke liae rakhen (albat'ta momkin hone ki surat me)
(ye bhi mustahab hai ke jis shakhs ki jaan sakhti wa mushkil se nikal rahi ho agar ouse taklif wa parishaani na ho to ouse ous jagah le jaa'aen jahaan namaaz padhta thaa)
dusre ye ke aek tarah se but'paraston se aebaadat me moshaabahat ( مشابہت ) hai
taarikhe bashar is matlab par gawaah hai ke but'parasti ka aaghaaz mojas'samon hat'ta pat'tharon ko moqad'das banaane se huaa, but'parasti ki jad ( جڑ ) wa asl yahi hai. mojas'samon aur pat'tharon ke taqad'dus se but'parasti ki eib'teda huei phir aahistah aahistah wahi maabud ho ga'ae oun ki puja wa aebaadat hone lagi
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
28 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment