Aurat ki sharm'gaah se nikalne waali rotubat ka hukm - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Thursday, December 9, 2021

Aurat ki sharm'gaah se nikalne waali rotubat ka hukm

Sawaal az : khaahare geraami


Asslam alaikum

Mera sawaal hai ki jaise ham kuchh waisi baat kare aur niche mani to nahi nikli par agar nami aa jaye to kya napaak ho jaati hai ladkiya?

Agar haa to uska ghusl kaise karna hoga ?

Please bataiyega


Taqlid : ayatullah Sistani sb


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمة الله و بركاته


Mokhtasar jawaab :


is tarah ki rotubat se ladki / aurat naa'paak nahi hogi aur ghusl ka sabab bhi nahi hai


Qadre tafsili jawaab :


khelte ( ملاعبہ ) yaa shahwat angez ( شہوت انگیز ) khayaalaat ( yaa is ke maanind wa moshaabeh ) ke waqt jis rotubat wa tari ka aehsaas apne ouzwe khaas par ladkiyaan / auraten karti hain aur wo rotubat aetni zeyaadah meqdaar me nahi hai ke dusri jag'hon ko aaluda kare to paak hai aur ghusl waajib nahi hai aur wozu ko bhi baatil nahi karti hai


lekin agar nikalne waali rotubat aetni zeyaadah meqdaar me ho ke inzaal saadiq aa'ae aur kapdon ko aaluda kare, to is surat wa haalat me ke aurat / ladki ki jinsi laz'zat oruj ko pahunch jaane aur jinsi taskeen mokammal ( orgasm ) ho jaane ke hamraah wa saath ho to wo rotubat najis aur baa'aese janaabat hai, balke agar ous ke hamraah bhi na ho ( yaani jinsi laz'zat oruj ko na pahunche aur jinsi taskeen mokammal na ho lekin rotubat aetni zeyaadah meqdaar me ho ke inzaal saadiq aa'ae aur lebaas ko aaluda kare to is surat me ) -benaabar aehteyaate waajib najis aur janaabat ka baa'aes hai aur jis jag'hon par ladki / aurat, ko shak ho ke rotubat zeyaadah meqdaar me pahunchi yaa nahi yaa khud paani ( rotubat ) ke khaarij hone me shak kare to ous par ghusl waajib nahi hai aur ous ka wozu aur ghusl bhi baatil nahi hoga


Note :


  1. ghusle maiy'yit ke aelaawa saare ghuslo ka tariqah wahi hai jo niche recommend kiae ga'ae jawaab me hai bas farq sirf aetna hai ke har ghusl ki niyat kare

  2. ghusl karne ka sahih tariqa keya hai ?


  3. aehteyaate waajib ka matlab niche recommend kiae ga'ae jawaab ke Note me point number 2 molaaheza farmaa len

  4. keya ladki baap ki aejaazat ke beghair shaadi kar sakti hai ? | kab aejaazat lena zaruri nahi | court me nekaah | shia ladki ka sunni ladke se shaadi ka hukm


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko bhi padhna mofeed hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadime edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


4 / جمادى الاولى / 1443 ھ.ق


🌹شب ولادت با سعادت محبوبة المصطفى، سر ابيها، نائبة الزهرا حضرت زینب ( سلام اللہ عليهم )🌹

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen