Gustaakhe Imaame Zamaana (atfs) ke mota'alliq momenin se guzaarish aur shukriya - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Saturday, December 4, 2021

Gustaakhe Imaame Zamaana (atfs) ke mota'alliq momenin se guzaarish aur shukriya

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


باسمه جلت اسمائه

Momenin-e-geraami qadr

سلام علیکم


mai oun momenin, olamaa aur hamdardaane qaumo millat ka shukr guzaar hun jinhon ne gustaakhe Imaame Zamaana (روحى و ارواح العالمين له الفدا) ke khelaaf aehtejaaj me apne eimaan ka amali sobut diya is par khaamoshi aekhteyaar na ki aur daame, dirhame, qadame, sokhane koei qadam outhaaya


aap ke aehtejaaj ke baad natija saamne aaya aur Imaame Zamaana (روحى و ارواح العالمين له الفدا) ki shaane aqdas me gustaakhi ka murtakib hone waale Haidarabad dakn ke mulla saaheb ne alhamdolillah apni ghalati par shia qaum se maafi maang li


lehaaza momenin, olamaa, aur zimmedaaraane qaumo millat se guzaarish hai ke ab ye mo'aamala yahi khatm kar den, baqiya khoda ki zaat aur ous ke khalifa Imaame Asr (روحى و ارواح العالمين له الفدا) par chhor den

albatta tahqiq aur eilmi jawaab ka darwaaza hamesha khula rahega


Ajrokum eindallah wa menal'laahe taufiq


Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Qumul Moqaddesa / Iran


28 / rabi'ous'saani / 1443 H.Q


this article transliterated by "Saiyed Md Tabish" urdu to roman urdu

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen