Sawaal az : mohtaram janaab syed nasir abbas sb / Madagascar
Salamun alikum
Bad az arze salam-o-khaste na bashid
In sawalo k jawabat matlub hain
agar ham Facebook pe kisi daarhi munde (shave) kiye hue aadmi ki photo ko like karte han aur kisi be parda ladki ya aurat ki photo like karte han ya (masha Allah,nice pic) jaise comments karte han to kya ye gunah me sath dene ke barabar hai aur ham bhi unke gunah me sharik honge ?
Wassalam
Syed Nasir Abbas Madagascar (East Africa)
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
oun ki tasweer ya video ya film chaahe facebook ya youtube ya social media ya cyberspace ... par ho agar follow ya like karna ... oun ke is qabih fel ki taa'eid wa tasdeeq samjha jaa'ae aur baatil wa gunaah phaiylne ( پھیلنے ) ka baa'aes bane to jaa'aez nahi hai, haraam hai
Imaam Jawaad ( عليه السلام ) ka irshaade geraami hai :
"مَن اِستَحسَنَ قَبِيحاََ كَانَ شَرِيكاََ فِيهِ"
"jo shakhs bhi qabih fel ki tahseen wa sataa'eish kare to wo ous kaam me sharik hoga ( yaani wo bhi ous ke gunaah wa aeqaab me sharik hoga )"
( bahaarul anwaar jild 78 p 82 naashir moas'sasah al wafa )
Note :
baaqi sawaalon ke mauzuaat alag wa mustaqil hain lehaaza oun ka jawaab baad me diya jaa'ae ga ( maazerat )
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
24 / جمادى الاولى / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment