Sawaal az : mohtaram janaab Syed Minhal Hussain Sb. (Delhi)
Mera sawaal ye hai ke mai dekhta hun ke jo parents working hote hain wo apne bachhe ko play school me daal dete hain. Chahe bachhe 2 sal ke hon ya 2.5 Sal ke. Islam me Bachhe ko ilm haasil karne ke liye kis age se bataaya gaya hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
play school (aiysi dars'gaah jahaan khel khel me taalim di jaati hai) ya preschool ya kindergarten (کنڈر گارٹن) me chhote bach'chon ko bhejna sahi hai ya ghalat ?
bahot tafsili aur aek alag mauzu hai is ta'alluq se bas aetna arz kar dun ke :
2 ya 3 saal ki oumr, ghar makhsusan maa baap ke saath rahne ki hai, maa baap ki tarah dekh rekh koei bhi nahi kar sakta hai aur oun ki mohabbat ka koei nemal badal bhi nahi
aiyse maraakiz me bhejne ke bahot saare manfi asaraat bach'chon par morattab hote hain oun ko tang bhi kiya jaata hai jis ki wajah se baaz bach'che nafseyaati aetebaar se is tarah mariz ho jaate hain ke bach'che ki zindagi par ous ka asar taa hayaat rahta hai
chunke sawaal bach'chon ko school me daakhil karne ki oumr ke baare me hai lehaaza is ke mota'alliq bata dun ke Maasumin (صلوات الله عليهم) se manqul mokhtalif matn wa taabir aur kalemaat ke saath mota'addid rewaayaton se istefaada hota hai ke bach'chon ki taalim 7 saal ki oumr ke pahle shuru nahi honi chaahiae
Hadis ke baaz mokhtalif kalemaat is tarah hain :
-
Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :
" دَع اِبنَكَ يَلعَبُ سَبعَ سِنِين... "
"apne farzand ko chhod do 7 saal khele ... "
" اَمهِل صَبِيَّكَ حَتَّى يَاتِىَ لَهُ سِتُّ سِنِين... "
"apne farzand ko mohlat do yahaan tak ke 6 saal me daakhil ho jaa'ae ..."
-
Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ne farmaaya :
" يُرخَى الصَّبِىُّ سَبعاََ... "
"bach'cha 7 saal aazaad rakha jaa'ae (ous ke saath narmi ki jaa'ae) ... "
-
Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :
" اَلوَلَدُ سَيِّد سَبعَ سِنِين... "
"farzand 7 saal sardaar hai ... "
-
Imaam Saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :
" اَلغُلَامُ يَلعَبُ سَبعَ سِنِين... "
"ladka 7 saal khele ... "
(foruae kaafi jild 6 p 46 baab taadibul walad / tahzibul ahkaam jild 8 p 111 baab 5 / makaaremul akhlaaq p 222)
ba'taure kaamil sirf aek hadis molaaheza farmaa'aen :
Imaam Saaqid (عليه السلام) ne farmaaya :
اَلغُلَامُ يَلعَبُ سَبعَ سِنِينَ وَ يَتَعَلَّمُ الكِتَابَ سَبعَ سِنِينَ وَ يَتَعَلَّمُ الحَلَالَ وَالحَرَامَ سَبعَ سِنِينَ
"ladka 7 saal khele aur 7 saal ketaab ki taalim haasil kare aur 7 saal halaal wa haraam (dini qawaanin wa masaa'ael) ki taalim haasil kare"
(foruae kaafi jild 6 p 47 baab taadibul walad / tahzibul ahkaam jild 8 p 111 baab 5)
"ketaab ki taalim haasil kare" ketaab se moraad tin chizen ho sakti hain :
- Qur'aan ki taalim haasil kare
- likhna padhna sikhe
- maktab khaana wa school yaani wahaan taalim haasil kare
is hadis me saal ko 3 hisson me taqsim kiya gaya hai, pahla 7 saal dusra 7 saal aur tisra 7 saal
ye taqsim yunaani nezaam-e-taalim me bhi thi aur arastu wa aflaatun ki tahriron me bhi is taqsim ka zikr hai
haqir ne kahin padha hai maujuda daur me Japan, Finland, Italy, Canada, Germany ... me bhi eibtedaaei rasmi taalim (primary education) ka aaghaaz 6 ya 7 saal ki oumr se hi hota hai
pahle 7 saal ki oumr khelne ki hai is oumr me bach'chon ke liae khel saans lene ki tarah zaruri hai
aek dusri hadis Rasule geraami (صلى الله عليه و آله) se marwi hai :
اَلوَلَدُ سَيِّد سَبعَ سِنِينَ وَ عَبد سَبعَ سِنِينَ وَ وَزِير سَبعَ سِنِينَ
"farzand 7 saal sardaar wa aaqa aur 7 saal abd [ banda wa moti (مطیع)] aur 7 saal wazir hai ..."
(behaarul anwaar jild 101 p 95 h 42)
is rewaayat me bhi saal ko tin marhalon wa hisson me taqsim kiya gaya hai pahla 7 saal dusra 7 saal aur tisra 7 saal
paiydaa'eish se lekar pahle 7 saal me bach'cha aaqa, maula, baadshaah aur amir-e-khaana hai yaani baap maa ous ki har khaahish ko pura karen jo kahe karen basharte ke khatar'naak wa noqsaan'deh na ho aur waaledain ke imkaan me bhi ho
baaz log chhote bach'chon se badi oummiden wa tawaq'qo'aat rakhte hain ye ghalat hai is liae ke pahle 7 saal ke dauraan his, nazm aur farmaan'bardaari ... ous me nahi paaei jaati hai jismaani wa zehni lehaaz se naa'tawaan hai, mokhtalif ash'yaa me farq mahsus nahi kar paata hai, chhuri aur cham'che me bhi farq mahsus nahi karta hai lekin waqt ke saath saath ous me tabdili aati hai, ye aek naa qaabil-e-faraamosh sach'chaaei hai ke fahm, idraak aur sho'our oumr ke saath taraqqi karte hain
lehaaza bilkul awaa'aele oumri me bach'chon ko taalim me jhonk dene se iktesaab ki salaahiyaton ... par naa khush'gawaar wa manfi asaraat morattab hone ke qawi imkaanaat paa'ae jaate hain is dauraan ous ko baap maa ki negraani, mohabbat aur maamta zeyaadah chaahiae
is oumr me bach'chon ko chhod den taake khelen ye khel aaeindaah zindagi ke liae aek tarah ki tamrin wa mashq hai. khel kud, jismaani aur zehni nashwo nomaa (نشو و نما) ke liae zaruri hai makhsusan mitti me khelna bach'cho ke liae nehaayat faa'aedaamand hai
Rasule Maqbul (صلى الله عليه و آله) ne farmaaya :
" اِنَّ التُّرَابَ رَبِيعُ الصِّبيَانِ "
"khaak bach'chon ki bahaar (tafrih gaah) hai"
(mojamul kabir jild 6 p 140 h 5775)
dusre 7 saal me bar'aks hai is me bach'cha abd wa moti hai aur maa baap aaqa wa maula
pahle bach'cha jo kahta tha maa baap karte the ab oumr ke tanaasub se maa baab jo kahen wo bach'cha kare, susti wa kaaheli na kare
ye daur taalim-o-tarbiyat ka hai is liae ke bach'cha ab is qaabil ho gaya hai
is daur me bach'cha taqlid karta hai jo dekhta hai wahi karta hai dalil wa burhaan ke beghair har baat maan leta hai lehaaza baap maa khud ach'chhe tariqe se rahen taake bach'cha ach'chhi baaten sikhe
waaledain par bach'chon ke akhlaaq wa kirdaar ki taamir ke liae bhaari zimmedaari aa'aed hoti hai, is 7 saal me maa baap jo bo'aen ge wahi kaaten ge
tisre 7 saal me (yaani 14 se 21 saal) wazir wa moshir hai
yaani zimmedaari qabul karne ka waqt hai benaabar in zimmedaariyon aur kaam ka bojh outhaa'ae, gharelu aur ijtemaaei ... mo'aamelaat me madad faraaham kare
rewaayaat me qaabil-e-tawajjoh baat ye hai ke in me taakid ki gaei hai ke 7 saal bach'chon ko chhod den ... wo khelen lekin is me tarbiyat karne ki nafi nahi ki gaei hai yaani ye nahi kaha gaya hai ke pahle 7 saal me dini tarbiyat bhi na karen 7 saal kuchh na karen. tarbiyat ki koei khaas oumr nahi hoti hai albatta tarbiyat ka aaghaaz 3 saal se hota hai
is hawaale se aek nehaayat dil'chasp hadis hai
hadis tulaani hai lehaaza asl matn wa aebaarat se sarfe nazar karte huae sirf tarjuma wa mafhum bayaan karne par iktefa karta hun molaaheza farmaa'aen :
Imaam Baaqir wa Imaam Saadiq (عليهما السلام) se manqul hai :
"jab bach'cha 3 saal ka ho jaa'ae to ous se kahen 7 martaba "laa'aelaaha eillallaah = لااله الا الله" kaho phir ous ko ous ke haal par chhod den jab 3 saal 7 maahine 20 roz ka ho jaa'ae to ous se kahen 7 martaba "Mohammad rasulullaah = محمد رسول الله" kahe phir ous ko 4 saal tak aazaad chhod den jab 4 saal mokammal ho jaa'aen to ous se kahen 7 martaba "sallallaaho ala mohammad wa aale mohammad = صلى الله على محمد و آل محمد" kaho phir ous ko 5 saal tak chhod den jab ous ke 5 saal mokammal ho jaa'aen to ous se puchhen daayaan wa baayaan kidhar hai ? agar bach'cha daa'aen wa baa'aen jaanib ki tashkhis kar paaya to ous ko qibla rukh qaraar den aur kahen sajda karo phir ous ko apne haal par chhod den yahaan tak ke 6 saal ho jaa'aen jab oumr 6 saal ho gaei to ous ko roku wa sajda sikhaa'aen phir ous ko chhod den jab 7 saal ka mokammal ho jaa'ae to ous se kahen apna chehra wa haath dhoae (wozu ke liae aamaada karen) jab chehra wa haath dho le to kahen namaaz padho is ke baad ous ko apne haal par chhod den jab 9 saal ka mokammal ho jaa'ae to ous ko wozu karna sikhaa'aen agar wozu na kare to (monaasib) tambih karen aur namaaz padhne ka hukm den agar na padhe to (monaasib) tambih karen jab wozu karna aur namaaz padhna sikh liya to khoda ous ko aur ous ke baap maa ko bakhsh dega in'shaa'allaah
(man laa yahzarohul faqih jild 1 p 182 baab 43 / wasaa'aelush shia aela tahsil-e-masaa'aelish'shariaah jild 21 p 474 h 27620 / makaaremul akhlaaq p 222 / amaali shaikh saduq p 475 h 19 majlis 61)
ye hadis aulaad ki tarbiyat ke hawaale se khazaana hai is me waaledain ki zimmedaari bataaei gaei hai aur ye bhi bataaya gaya hai ke kis oumr me keya sikhaa'aen ? momin doctor aur bach'chon ke maahir-e-nafseyaat ko is hadis par bahot kaam wa tahqiq karne ki zarurat hai
is ki tashrih ke liae mofassal ketaab chaahiae sirf aek baat ko bayaan kar ke jawaab ka ikhtetaam kiya jaa raha hai :
aap ne molaaheza farmaaya ke mokhtalif azkaar padhne ... ke liae kaha gaya hai is me bhi hikmat hai aur oumr ke mokhtalif maraahil me padhne wa sikhaane ka hukm diya gaya hai is ki hikmat keya hai ?
asl hikmat wa eillat ka eilm Maasumin (صلوات الله عليهم) ko hai lekin is ko aek misaal se samjha jaa sakta hai
zindagi ke mokhtalif maraahil me azkaar ... padhna wa sikhaana maanawi vaccine hai oumr ke mokhtalif maraahil me bach'chon ko hefaazati injection lagaa'ae jaate hain aur polio ke qatre pilaa'ae jaate hain ...
doctor behtar jaanta hai ke bach'chon ko kis oumr me masalan polio ki vaccine pilaaei jaa'ae ya injection lagaaya jaa'ae is ki hikmat wa dalil se doctor waaqif hai agar waaledain se puchha jaa'ae ke oumr ke mokhtalif maraahil me polio ke qatre keyon pilaa'ae gae ? ya injection keyon dilwaaya ?
to shaayad jawaab den mujhe nahi maalum ham ko doctor par aetemaad hai is liae aiysa kiya ...
mazkura baala rewaayat me bach'che ki oumr ke mokhtalif maraahil me imaam ne jo sikhaane wa karne ke liae kaha hai wo isi vaccine ke moshaabeh hai is me zarur koei hikmat hai is liae Maasum (صلوات الله عليهم) ne is tarah karne ke liae kaha hai wo behtar jaante hain
3 saal ke pahle nau zaa'aeida ( نو زائیدہ) bach'che ke kaan me azaan-o-aeqaamat kahna bhi maanawi vaccine hai
Note :
Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
13 / جمادى الثانى / 1441 ھ.ق
روز وفات جناب ام البنین سلام الله عليها