keya 2 bach'che aekat'the so sakte hain ? | kis oumr me bach'cho ko alag bistar par solaana chaahiae ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Sunday, December 12, 2021

keya 2 bach'che aekat'the so sakte hain ? | kis oumr me bach'cho ko alag bistar par solaana chaahiae ?

Sawaal az : +923002308....


AOA! Tafseeli jawaab ka bahot shukriya nawazish isi silsile me arz hai ke jaise aik sahab ke do bete hain 11 saal aur 9 saal ki age me biwi bazid ho kar bachon ko apne bed par saath sulaati hai sirf is liae ke dadi ke saath ya dusari jaga par na so saken dusare bhai ki beti 12 saal ki hai baligh he aur beta 11 saal ka hai aur wo charoon bhi aik bed par sote hain jab ke ghar me jagah ya beds ki koi kami nahi hai ye sirf biwion ki zid hai aise mardon ke liae keya hukm hai ? Jawaab ke liae anticipated thanks


Jawaab :


باسمہ تعالی

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Mokhtasar jawaab :


naa'mahram ka aek takht ya bistar par sona haraam hai, jaa'aez nahi hai. agar waaledain bach'chon ko aiysa karne par majbur karen to wo bhi is gunaah me sharik hain

aiyse baap maa ko jahannam ki aag se darna chaahiae


is ta'alluq se surah tahrim aayat 6 padh len


Qadre tafsili jawaab :


bach'chon ki jinsi kajrawi aur inheraaf ka aek mohim sabab waaledain ka ghalat rawaiya (رویہ) wa bartaao hai, shaayad hi koei baap ya maa chaahen ke meri aulaad jinsi inheraaf ka shekaar ho, agar bach'pan ya naujawaani ya jawaani hatta is ke pahle waaledain is se bachaao ki sahih tadbir wa mansuba bandi na karen to ye bach'chon ke jinsi inheraaf ka baa'aes ho sakta hai


jinsi kajrawi wa inheraaf insaaniyat ke liae khatra hai, is ke natije me mokhtalif bimaariyaan bhi ho sakti hain. agar waaledain chaahate hain oun ke bach'che jinsi be raah rawi wa tahrik se mahfuz rahen to oun ko bahot saari baaton ki reaayat wa paas-o-lehaaz karna hoga


Oun me se aek :


bach'chon ka takht wa bistar alag karna hai :


is ke mota'alliq sirf do rewaayat peshe khidmat hai :


  1. Rasul-e-akram (صلى الله عليه وآله) ne irshaad farmaaya :


    " اَلصَّبِىُّ وَالصَّبِىُّ وَالصَّبِيَّةُ وَالصَّبِيَّةُ وَالصَّبِىُّ وَالصَّبِيَّةُ يُفَرَّقُ بَينَهُم فِى المَضَاجِعِ لِعَشرِ سِنِينَ "


    10 saal ke ladke wa ladke, ladki wa ladki, ladke wa ladki ka bistar aek dusre se juda kar diya jaa'ae


    (man laa yah'zarohul faqih jild 3 p 276 baab 128)


    (yaani 2 ladke aek bistar par na so'aen isi tarah 2 ladkiyaan aek bistar par na so'aen aur khaas taur par ladka wa ladki = pesar wa dokhtar = aek bistar par na so'aen, jab 10 saal ke ho jaa'aen to oun ka bistar aek dusre se alag kar dena chaahiae)


  2. aek dusri rawaayat Amirul Momenin Ali (عليه السلام) se marwi hai :


    " اَنَّهُ يُفَرَّقُ بَينَ الصِّبيَانِ فِى المَضَاجِعِ لِسِتِّ سِنيِنَ "


    6 saal ke bach'chon ka bistar aek dusre se juda kar diya jaa'ae


    (hawaala-e-saabiq)

donon hadis ki mokhtasar wazaahat :


aek rewaayat me 10 saal ke bach'chon ka bistar alag karne ke liae kaha gaya hai dusri me 6 saal ke bach'chon ka


keya ye aek dusre ki zid wa khelaaf nahi hain ?


donon rewaayaton me tazaad nahi hai, jab bach'che 6 saal ke ho jaa'aen to aek dusre ka bistar alag karna mustahab hai lekin ye maamuli mustahab hai


jab 10 saal ke ho jaa'aen to is mustahab ki zeyaadah taakid ki gaei hai yaani mustahabb-e-mo'akkad hai


sunnat ki tarah aek aam sunnat hai aur aek sunnat-e-mo'akkadah hai


albatta agar aek hi bistar par sona fasaad wa gunaah ke liae raasta hamwaar kare to 100% juda karna waajib ho jaa'ae ga


qaabil-e-zikr hai ke in rewaayaton me bach'chon ke bistar ko juda karne ke liae kaha gaya hai, ye sirf bach'chon se makhsus nahi hai balke oun ke bistar auraton aur mardon hatta maa baap ke bistar se bhi alag wa juda hona chaahiae


Note :


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


  1. bach'chon ki taalim-o-tarbiyat ki oumr | is hawaale se khubsurat hadisen

  2. bach'chon ka naam paydaaeish ke pahle | ach'che rakhen

  3. Nauw maulud ke kaan me azaan aur aeqaamat kahne ka hukm | kahne ke pahle mar gaya to kahaan dafn karen ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran


22 / صفر / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen