Sawaal az : mohtarama janaab madiha batool sb (Pakistan)
Assalam o alaikum
Sawaal ye hai ke jis bach'che ke kaan me azaan dene se pahle us ki death ho jaaye to kya use kbristan se bahir dafnaana chahiye?
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسین
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
jab bach'cha paida ho to pahle hi din ya naaf jhadne ( جھڑنے ) ke pahle daa'aen kaan me azaan aur baa'aen kaan me aeqaamat kahna mustahab hai, waajib nahi hai
agar baap musalmaan wa momin hai to na kahne ki surat me bhi nauw maulud ( نومولود ) musalmaan wa momin hi rahe ga lehaaza ous ko musalmaanon ke qabristaan me dafn karen
agar kahin aur dafn karna chaahte hain to qabr ki zamin monaasib jagah par ho aur mobaah ho yaani ghasbi na ho
yahi hukm saaqit shuda bach'che ka hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
28 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment