Dokhtare Nabi ki taarikhe shahaadat | ay'yaame faatemiyah me shaadi karne wa khushi manaane ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, January 14, 2019

Dokhtare Nabi ki taarikhe shahaadat | ay'yaame faatemiyah me shaadi karne wa khushi manaane ka hukm

Sawaal az : .....


salamun alaikum


sawal
hamaari bhatiji ki shaadi 26 Jan. 2019 ke din taiy paaei hai taarikh nikah ke liye nek hai par hamaare ek bhai ka kahna hai ki bibi saiyyada ki jo dono riwaayat hai us me shaadi nahi ki ja sakti aur agar karen ge to wo sharik nahi hon ge to kiya ye sahi hai jab ke 4the imaam ki welaadat bhi isi dino me aati hai


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


aap ne khud aeshaara farmaaya Janaabe Saiyyedah (سلام الله عليها) ki shahaadat ke ta'alluq se 2 rewaayat hai :


  1. Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki shahaadat ke sirf 75 din hi is daare faani me rahin.

  2. Rasulullah (صلى الله عليه و آله) ki shahaadat ke baad sirf 95 din zinda rahin.

pahli rewaayat ke motaabiq taarikhe shahaadat 13 jomaadiyul'oula (جمادى الاولى) hai aur dusri rewaayat ke motaabiq taarikhe shahaadat 3 jomaadiyus'saani (جمادى الثانى) hai


13 jomaadiyul'oula se 3 jomaadiyus'saani tak taqriban 20 ya 21 roz huae yaani 20 ya 21 roz ka faasela hai


jomaadiyul'oula ke 3 roz, 13, 14, 15 aur jomaadiyus'saani ke shuru ke 3 roz yaani 1, 2, 3 ya do tin roz qabl wa baad aam taur par aiy'yaame faatemiya (سلام الله عليها) se makhsus hain
is ko aiy'yaame faatemiya'ae awwal wa faatemiya'ae dow'wum (سلام الله عليها) kaha jaata hai


aiy'yaame faatemiya (سلام الله عليها) me shaadi ke ta'alluq se aksar maraaje ki nazar taqriban yaksaan hai


shahaadat ki taarikh ke do tin din qabl wa baad ke aelaawah shaadi karna shar'an jaa'aez hai, koei haraj nahi hai. ba'sharte ke koei kaam gunaah ka na ho


lekin momenin ke liae behtar hai ke do taarikhon ke darmeyaan 20 ya 21 din ki muddat me bhi shaadi karne se parhez karen is liae ke kahin aiysa na ho ke in aiy'yaame gham ki be'aehteraami ho jaa'ae


lehaaza aehteyaat wa aehteraam ke ounwaan se parhez karen
ye aiy'yaame huzno andoh hain behtar hai ke shaadi kisi dusri wa ach'chhi taarikhon me ki jaa'ae. Maasumin (صلوات الله عليهم) ki taarikhe welaadat me karen


albatta agar aap ke aelaaqe me in aiyyaam me shaadi karna aiy'yaame faatemiya wa Janaabe Saiyyedah (سلام الله عليها) ki be'aehteraami samjha jaa'ae to jaa'aez nahi hai, yahaan momenin ke ourfe aam ko dekha jaa'ae ga


Note :


agar kisi Imaam (عليه السلام) ki welaadat hai to ous par aiy'yaame faatemiya aur shahaadat ke din moqaddam hain


masalan mash'hur qaul ke motaabiq 5 shaabaan Imaame Sajjaad (علیه السلام) ki taarikhe welaadat hai. lekin baaz qaa'ael hain ke nisf jomaadiyul'awwal yaani 15 jomaadiyul'awwal yaume welaadat hai to is din aiy'yaame faatemiya ke peshe nazar gham manaa'aen aur azaadaari karen is din shaadi aur jashno sorur ka aehtemaam karna monaasib nahi hai


niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


12 / ربيع الثانى / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen