keya laa'waaris bach'che ke aqiqe ka gosht khaa sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Sunday, December 19, 2021

keya laa'waaris bach'che ke aqiqe ka gosht khaa sakte hain ?

Sawaal az : khaahare geraami


Sawaal tha ek


Mere relation me ek ne ek bach'cha leya (anath asharam) se ye nahi pata hai bach'cha muslim ya non muslim
Aur unho ne aqiqa keya hai
Aur uska gosht (meat) bheja hai


Ab ham log Syed hain khaa sakte hain ya nahi


Jin ho ne bach'cha liya hai wo bhi Syed hai but aqiqa to bach'che ka hua hai aur maloom nahi bach'cha muslim ya non muslim


Isliye apse sawaal keya hai
Naam na mention kariye'ga
Taqlid Grand Ayatulla sayyid sistani sb


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


bach'cha, yateem khaane yaa laa waaris bach'chon ko paalne posne ki jagah se len yaa kisi aur jagah se, god lene waale muslim yaa saiyed yaa ghair saiyed hon, tino surat me ous ke aqiqe ka gosht syed aur ghair syed dono ke liae khaana jaa'aez hai koei haraj nahi hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


14 / جمادى الاولى / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen