Doa ke pahle aur baad salawaat keyon ? | aulaad ki namaaz baraa'ae pedaro maadar | waqt | tariqa - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Monday, November 1, 2021

Doa ke pahle aur baad salawaat keyon ? | aulaad ki namaaz baraa'ae pedaro maadar | waqt | tariqa

Sawaal az : mohtarama janaab Saniya Zahra Sb (Banaras)


Namaze hadiya-e-waledain agar ham padhte hain to aakhri me kya ham aale mohammad ke wasile se hadiya kar sakte hain


Jawaab :


باسمه تعالی
یاصاحب الزمان ادرکنا
سلام علیکم


ji kar sakte hain


rewaayaat ke motaabiq apni doa ko 2 salawaat ke darmeyaan qaraar dena chaahiae, salawaat azim doa wa zikr hai, is ke aelaawah doa ke qabul hone ka sabab bhi hai


Imaam Saadiq (علیه السلام) ne farmaaya :


مَنْ کَانَتْ لَهُ اِلَی اللهِ عَزَّوَجَلَّ حَاجَةٌ فَلْیَبْدَأ بِاالصَّلَاةِ عَلَی مُحَمَّدٍ وَ آلِهٖ ، ثُمَّ یَسْأَلُ حَاجَتَهُ ، ثُمَّ یَخْتِمُ بِاالصَّلَاةِ عَلَی مُحَمَّدٍ وَ آلِ مُحَمَّدٍ ، فَاِنَّ اللهَ عَزَّوَجَلَّ اَکْرَمُ مِنْ اَن یَقْبَلَ الطَّرَفَیْنِ وَ یَدَعَ الوَسَطَ اِذَا کَانَتِ الصَّلَاةُ عَلَی مُحَمَّدٍ وَ آلِ مُحَمَّدٍ لَا تُحْجَبُ عَنْهُ


"jis shakhs ko khodaa'ae az'za wa jal se haajat hai to apni haajat (doa) ko Mohammad aur aap ki aal par salawaat se shoru wa aaghaaz kare, phir apni haajat maange, is ke baad (apni doa) ko Mohammad Wa Aale Mohammad par salawaat se khatm wa tamaam kare, is liae ke khodaa'ae az'za wa jal is se kahin zeyaadah kareem (fay'yaaz) hai ke shoru wa aakhir ki doa (salawaat) ko qabul kar le aur is ke darmeyaan (haajat) ko chhod de Mohammad Wa Aale Mohammad par, salawaat ous se poshidah nahi hai (yaani Allaah ke nazdik maaruf wa hamesha maqbul hai)


[osule kaafi jild 2 p 494 ketaabud'doa, baab as'salaat alan nabi mohammad wa ahle baytehi (علیهم السلام) hadis 16]


aulaad ki namaaz baraa'ae pedaro maadar me bhi jo azkaar aur aayaat hain ous me doa wa talabe maghferat hai lehaaza ous ka sawaab hadiyah karne ke pahle salawaat bhejen aur hadiyah karne ke baad bhi salawaat bhejen, ye khud azim wasilah hai


Note :


"aulaad ki namaaz baraa'ae pedar wa maadar" ke bahot saare faa'aede aur khaasiyaten hain


is ki aetni ahamiyat hai ke marhum maa baap aarzu wa tamanna karte hain ke ay kaash zinda kiye jaa'aen taa ke dunya me jaa kar apni ous aulaad ke zaanu (guthne) ka bosa len jis ne ye namaaz padhi hai


Waqt :


ye namaaz kisi bhi waqt me padh sakte hain lekin behtarin waqt shabe jum'aa, namaaze maghrib wa aesha ke darmeyaan hai


Tariqah :


2 rak'at hai. is ki niyat is tarah ho gi :


2 rak'at namaaz baraa'ae pedar wa maadar padhti / padhta hun qurbatan aelallaah


Pahli rak'at me Surah Hamd 1 martabah phir 10 martabah


" رَبِّ اغْفِرْلِی وَ لِوَالِدَیَّ وَ لِلْمُومِنِینَ یَوْمَ یَقُومُ الحِسَابُ "


"Rabbigh fir li wa le waaledaiy'ya wa lil'momenin yauma yaqumul hesaab"


padh kar roku wa sajdah karen


Dusri rak'at me 1 martabah Surah Hamd ke baad 10 martabah


" رَبِّ اغْفِرْلِی وَ لِوَالِدَیَّ وَ لِمَنْ دَخَلَ بَیْتِی مُومِناً وَ لِلْمُومِنِینَ وَ المُومِنَاتِ "


"Rabbigh fir li wa le waaledaiy'ya wa leman dakhala baiti momenan wa lil'momenin wal momenaat"


padh kar qonut padhna chaahen to padh sakte hain (albatta qonut padhna zaruri nahi hai) phir roku wa sajde aur tashah'hud wa salaam ke baad 10 martabah kahen :


" رَبِّ ارْحَمْهُمَا کَمَا رَبَّیَانِی صَغَیراً "


"Rabbir ham'homa kama rabbayaani saghira"


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


  1. keya namaaze waaledain maa baap ke liae makhsus hai ?

  2. keya zindah waaledain ke liae namaaze hadiya baraae waaledin padh sakte hain ? | is ka faa'aeda

  3. Waaledain ki maghferat ke liae namaaz padhne ka waqt

  4. Maahe zilqaadah me itwaar ke din namaaze tauba padhne ka tariqa | fazilat | faa'aedah

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


25 / ربیع الاول / 1443 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen