keya Rasule Khoda ne murdon ko zindah kiya ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Tuesday, November 30, 2021

keya Rasule Khoda ne murdon ko zindah kiya ?

Sawaal az : Mohtaram Janaab Arshad Sb.


Assalamualaikum


Mera sawal hai ke kya Allah ke nabi s.a.w ne murdey ko zinda kiya.
Quran aur Hardee's main iski koi Daleel hai ?


Regards,
Arshad |arshadkhana....@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ji, murdah jaanwaron aur insaanon ko zindah kiya


Misaal ke taur par sirf 2 rewaayat peshe khidmat hai :


  1. Seqah aur jalilul qadr aalim, faqih aur mohad'dis ... Saeid Bin Hebatullah Raawandi ne rewaayat kiya hai :

  2. aek ansaar ke ghar me bakri ka bach'cha tha ous ko zabh kiya aur apni biwi se kaha gosht ke kuchh his'se ko pakaao aur kuchh ko bhun lo shaayad aaj raat Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) hamaare ghar tashrif laa'aen aur ham ko moshar'raf karen aur hamaare saath iftaar karen. biwi se ye kah kar masjid chale ga'ae , oun ke 2 chhote bete the oun donon ne apne baap ko bakri ke bach'che ko zabh karte huae dekha tha oun me se aek ne dusre se kaha :


    Aao (آؤ) ham tumhen zabh karen chaaqu liya aur zabh kar diya


    jab bach'cho ki maa ne ye manzar dekha to chikhi, zabh karne waala beta dar se bhaaga aur kamre se niche gira aur mar gaya, ous momenah aurat ne apne donon bach'chon ki laash ko chhupa diya aur khaana pakaane lagi taake Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ke liae aamaadah kare, jab Nabi (صلى الله عليه و آله) ous ansaar ke ghar me daakhil huae to ousi asna Hazrate Jibraeil naazil huae aur kaha :


    ay Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) in se kahen ke apne beton ko le aa'aen jab baap beton ko lene gaya to maa ne kaha :


    donon haazir nahi hain (kahin ga'ae hain) baap waapas aaya aur Nabi (صلى الله عليه وآله) ko oun ke maujud na hone ki khabar di to aap (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


    oun donon ko laana zaruri hai


    phir baap bach'chon ki maa ke paas gaya to maa ne haqiqat aur maajra se aagaah kar diya, baap Nabiye akram (صلى الله عليه و آله) ki khidmat me donon beton ka janaazah laaya


    Nabiye rahmat (صلى الله عليه وآله) ne khoda se dono beton ke zindah hone ke liae doa farmaaei to wo zindah ho ga'ae aur tulaani oumr paaei


    Hawaalah :


    1. "isbaatul hodaat" jild-1 p-401 -  402 fasl-29 taalif faqih aur mohad'dise shia Shaiykh Hur Aameli

    2. "muntahal aamaal" jild-1 p-51 fasl-5 taalif seqatul mohad'deseen Shaiykh Abbaas Qumi saahebe mafaatihul jenaan

  3. Oum'mul momeneen Janaabe Oum'me Salama (سلام الله علیها) se marwi rewaayat me hai :

  4. aek roz do paher ke waqt Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki khidmat me thi, achaanak aap ke as'haab me se 3 sahaabi aap ki khidmat me aa'ae aur arz kiya :


    ay Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) aejaazat hai ke ham log daakhil hon ?


    aap ne aejaazat de di to wo ghar ke andar daakhil huae


    oun sahaabiyon me se pahle aek sahaabi ne kaha :


    ay Mohammad aap ne gomaan kiya hai ke aap "Ibraaheem" se behtar (afzal) hain jab ke "Ibraaheem" ko khoda ne apna khaleel banaaya pas kis chiz ne aap ko oun se behtar (afzal) kiya ?


    Dusre ne kaha :


    aap ne gomaan kiya hai ke aap "Musa" se behtar (afzal) hain jab ke Musa "Kalimullah" (khoda se kalaam karne waale) hain khoda ne aap se kab kalaam kiya ?


    Tisre ne kaha :


    aap ne gomaan kiya hai ke aap "Eisa" se behtar (afzal) hain jab ke "Eisa" ne murdon ko zindah kiya aap ne kab kisi chiz ko zindah kiya ? ...


    [Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne in baaton ka jawaab aek tulaani rewaayat me diya hai]


    phir Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) se Rasule akram (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


    "قُم يَا حَبِيبِى فَالبِس قَمِيصِى هَذَا فَانطَلِق بِهِم اِلَى قَبرِ يُوسُف بِن كَعب فَاَحيِهِ لَهُم بِاِذنِ الله تَعَالى ..."


    " ay mere habeeb outho aur meri is qamees (qamise resaalat) ko pahno aur in ko "Yusof Bin Kaab " ki qabr ke paas le jaao aur izne khoda ta'aala se in ke liae oun ko zindah karo ... "


    Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ke saath tinon baqi me aa'ae aur wahaan aek puraani wa bosidah qabr ke paas aa kar Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ne neda di aur chand jumle kahe to qabr phati phir apne pair se qabr par maara aur farmaaya :


    "قُم بِاِذنِ الله تَعَالى ..."


    "khoda ta'aala ke izn se outho ... "


    achaanak qabr se aek budha (بوڑها) shakhs nikla aur apne sar aur daadhi (داڑھی) se khaak jhaadte huae bola :


    "يَا اَرحَمَ الرَّاحِمِين"


    "ay mehr'baanon ka mehr'baan"


    phir qabr se nikalne waale shakhs ne ous qaum ( tinon ) ki taraf apna rukh is tarah kiya goya oun ko pah'chaanta hai aur (oun tinon se) kaha :


    af'sos Allaah tum par azaab kare, keya main eimaan laane ke baad kaafir ho jaa'oun ?


    main "Yusof Bin Kaab" saahebul oukhdood (صَاحِبُ الاُخدُود) hun khoda ne 300 (ya 360) saal pahle mujhe maut di


    Hawaalah :


    1. madinatul ma'aajiz jild-1 p-272 fasl-252 taalif mohad'dise jaleel wa aalime nabeel Syed Haashim Bahraani

    2. puri rewaayat aur tinon ke jawaab ko jaan'ne ke liae darj zail ketaab ki taraf roju karna hoga

    3. "Ad-dur'run nazeem fi manaaqebil aeimmah " p-145 - 146 fasl mojezaate nabi taaleef Aalime imaami wa shi'ei Shaiykh Yusof Bin Haatim Shaami

mazeed maalumaat ke liae niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka molaaheza farmaana mofid hai انشاءالله


  1. keya ambiya aur imaam (a.s ) murdon ko zinda karte the ? | kis ko zinda kiya ?

  2. Nabi ke mojezaat | keya aap ka sar ouncha nazar aata tha ? | mohre nabuwat se moraad

  3. keya Nabi aur Imaam ka saaya nahi tha | na hone ki wajah | Nabi ki teen khaslaten | Imaam ki alaamaten


Note :


as'haabe oukhdood ka zikr surah boruj me Aaya hai molaaheza farma len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


23 / ربيع الثانى / 1443 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen