Zindagi ke chaar mushkil tarin lamhaat me chaar qur'aani zikr
Imaam Saadiq (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :
عَجِبتُ لِمَن فَزِعَ مِن اَربَعٍ كَيفَ لَايَفزَعُ اِلَى اَربَعٍ :
mai ous shakhs par ta'ajjub karta hun jo chaar chizon se khauf karta hai aur ghabraata hai lekin (ous se bachne wa mahfuz rahne ke liae) chaar chizon (zikr / aayaat) ki panaah nahi leta :
عَجِبتُ لِمَن خَافَ كَيفَ لَايَفزَعُ اِلَى قَولِهِ عزوجل : حسبنا الله ... :
وَ عَجِبتُ لِمَن اِغتَمَّ كَيفَ لَايَفزَعُ اِلَى قَولِهِ عزوجل : لا اله الا ... :
وَعَجِبتُ لِمَن مُكِرَ بِهِ كَيفَ لَايَفزَعُ اِلَى قَولِهِ : وافوض امرى ...
وَعَجِبتُ لِمَن اَرَادَ الدُّنيَا وَ زِينَتَهَا كَيفَ لَايَفزَعُ اِلَى قَولِهِ تبارك وتعالى : ماشاءالله ...
ous par ta'ajjub karta hun jo khauf zada hai aur darta hai (ous ke oupar khauf chhaa jaane ka andesha ho ya chhaa gaya hai, khauf khaaah kisi bhi cheez se ho, dushman ya kisi aur cheez se) lekin keyon khoda azza'wa'jal ke is qaul (zikr / aayat) ki panaah nahi leta :
" حَسبُنَا اللهُ وَ نِعمَ الوَكِيلُ " [ آل عمران 173 ] ؟
hasbonallah wa nemal wakil [aale imraan 173] ?
"hame Allaah kaafi hai aur wo bahot achha kaar'saaz (wakil) hai"
Is liae ke mai ne suna ke khoda jalla jalaaloh is aayat ke baad farmaata hai :
" فَانقَلَبُوا بِنِعمَةٍ مِنَ اللهِ وَ فَضلٍ لَم يَمسَسهُم سُوء " [ آل عمران 174 ]
"Allaah ki nemat (salaamti) wa fazl (tejaarat me nafaa) ke saath (musalmaan jehaad se) laute unhen koei gazand wa buraa'ei na pahonchi" [aale imraan 174]
(jo bhi is zikr ko padhe ga beghair iske ke koei buraa'ei ous tak pahunche aur khauf ho wo maqsad tak pahunch jaa'ae ga)
aur ous par ta'ajjub karta hun jo ghamgin wa be'chain hai lekin keyon khoda azza'wa'jal ke is qaul ki panaah nahi leta :
" لَااِلَهَ اِلَّا اَنتَ سُبحَانَكَ اِنِّى كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ " [ انبياء 87 ] ؟
laa aelaaha eilla anta sub'haanaka inni kunto menaz'zaalemin [ambiya 87] ?
"tere sewaa koei maabud nahi tu paak hai beshak mai hi (apni jaan par) zeyaadti karne waalon me se tha"
Is liae ke mai ne suna ke khoda azza'wa'jal is aayat ke baad farmaata hai :
" فَاستَجَبنَا لَهُ وَ نَجَّينَاهُ مِنَ الغَمِّ وَ كَذَالِكَ نُنجِى المُومِنِينَ [ انبياء 88 ]
"to ham ne (Hazrat Yunus) ki pukaar sun li (doa qabul farmaa li, is zikr ko padhne ke baad) aur hamne ounhe gham se nejaat de di aur ham isi tarah eimaan waalon ko nejaat diya karte hain" [ambiya 88]
[laa aelaaha eilla anta sub'haanaka inni kunto menaz'zaalemin (anbeyaa 87) / لَا اِلَهَ اِلَّا اَنتَ سُبحَانَكَ اِنِّى كُنتُ مِنَ الظَّالِمِين ko "zikre Yunosiyah" kahte hain. Hazrat Yunus kuchh muddat tak shekame maahi me rahe aap teen andheron me ghir ga'ae, machh'li ke pet ka andhera, raat ka andhera aur samandar ka andhera, jab aap ne is zikr ko padha to khoda ne aap ko batne maahi se nejaat de di]
aur ous par ta'ajjub karta hun jis ko dhoka wa fareb diyaa jaa'ae (khaah wo kisi ki taraf se ho) lekin keyon khoda ke is qaul ki panaah nahi leta :
" وَاُفَوِّضُ اَمرِى اِلَى اللهِ اِنَّ اللهَ بَصِير بِالعِبادِ " [ غافر 44 ] ؟
wa ofaw'wezo amri aelallah innal'laha basirun bil'aebaad [ghaafir 44] ?
"aur mai apna mo'aamala Allaah ke sopurd karta hun, yaqinan Allaah bando ko dekhne waala wa negraan hai"
Is liae ke mai ne suna hai ke khoda jalla wa taqad'dasa is aayat ke baad farmaata hai :
" فَوَقَاهُ اللهُ سَیِّئَاتِ مَامَكَرُوا " [ غافر 45 ]
"pas oun (Hazrat Musa ko is zikr ko padhne ke baad) Allaah ne tamaam badiyon (chaalon aur makro fareb) se mahfuz rakh liya jin ki wo (Aale Fir'aun) tadbir kar rahe the" [ghaafir 45]
aur ous par ta'ajjub karta hun jo (mamduh) dunya aur is ki zinat (Allaah ki di huei nematon jaiyse maal wa daulat shaadi beyaah aur aulaad...) ka taalib hai is ko chaahta hai lekin keyon khoda tabaaraka wa ta'aalaa ke is qaul ki panaah nahi leta :
" مَاشَاءَاللهُ لَا قُوَّةَ اِلَّااللهِ " [ کہف 39 ] ؟
maashaa'alla'ho laa quwata eil'lal'laah [kahaf 39] ?
"wahi hota hai jo Allaah chaahe, koei taaqat nahi magar Allaah ki"
Is liae ke mai ne suna khoda azza eismo is aayat ke baad farmaata hai :
" اِن تَرَنِ اَنَا اَقَلَّ مِنكَ مَالاً وَ وَلَداً، فَعَسَى رَبِّى اَن يُوتِيَنِ خَيراً مِن جَنَّتِكَ [ کہف 39 - 40 ] وَ عَسَى مُوجِبَةً "
(aek aadmi ke paas dunyaawi nematen nahi thin ous ka khetaab aiyse shakhs se huaa jis ke paas dunyaawi nematen thin) "agar tu mujhe maal wa aulaad me apne se kamtar dekh raha hai, bahot mumkin hai ke mera rab mujhe tere (ous) baagh me se bhi behtar ataa farmaa'ae" [kahaf 39-40]
Is aayat me kalemah "Asa" sirf rajaa wa oummid ke maani me nahi hai balke is ka matlab saabit wa mohaqqaq hona hai
(Amaali shikh Saduq safa 55 majlise saani / al-khesaal shikh Saduq jild 1 safa 218)
Haasile kalaam :
kisi cheez ke khauf ke waqt "Hasbonal'laaho wa nemal wakil / حَسبُنَا اللهُ وَ نِعمَ الوَكِيل " aur ghamgini wa bechaini ke waqt "laa aelaaha eilla anta sub'haanaka inni kunto menaz'zaalemin / لَا اِلَهَ اِلَّا اَنتَ سُبحَانَكَ اِنِّى كُنتُ مِنَ الظَّالِمِين " aur dhoka wa fareb khaane ke waqt "wa ofaw'wezo amri aelal'laahe in'nal'laaha basirun bil'aebaad / وَ اُفَوِّضُ اَمرِى اِلَى اللهِ اِنَّ اللهَ بَصِير بِالعِبَاد " aur mamduh aur halaal dunya aur is ki nematon ko haasil karne ke liae "maashaa'allaho laa quwata eil'lal'laah / مَاشَاءَاللهُ لَاقُوَّةَ اِلَّا الله " padhen.
Imaam (عليه السلام) ki taraf se ye chaar nuskhe aap ko chaar mushkilon se bachaa'aen ge insha'allah
Note :
Zindagi ke mushkil tarin chaar lamhaat se bachne ke liae mazkura az'kaar ko padhne ke saath amali aeqdaam ki bhi zarurat hai
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat
Qum moqaddas / Iran
3 / rabi'us'saani / 1443 H.Q
Translitrated by "Saiyed Mohammad Taabish" from Urdu to Roman Urdu.
MashaALLAH behtreen
ReplyDeleteShukriya
Delete