Sawaal az : ....
Asslamalekum
Maulana saaheb mere kuchh questions hai aapse puchh sakti hun ijaazat hai
Kya koi ladki kisi se love marriage. Shadi ki dua kar sakti hai
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
islaam me shaadi karna nehaayat moqad'das kaam hai aur sun'nate Rasul bhi hai
iski bohot taakid ki gaei hai is liae ke mushtarakah zindagi ki tashkil aur shaadi fitri zarurat hai
kisi se shaadi karne ki aarzu wa taman'na karna halaal kaam hai lehaaza gunaahon se bachte huae baargaahe aelaahi me doa kar sakti hain aur Maasumin (عليهم السلام) se tawas'sul aur nazro man'nat bhi
ye jaa'aez hai balke matlub wa pasandida kaam hai
haraam kaam ke liae doa karna jaa'aez nahi hai
Albatta is baat par tawajjoh zaruri hai :
ladka monaasib ho aur shaadi karne ke liae taiy'yaar ho aur ous ke haalaat bhi aiyse hon ke shaadi kar sake
tab doa karne me koei haraj nahi hai
lekin agar maalum hai ke wo monaasib nahi hai aur shaadi nahi karega ya ous ke haalaat aiyse hain ke shaadi nahi kar sakta to doa karna waqt talafi hai
aiyse ladke se shaadi karne ki aarzu wa fikr ke bohot saare noqsaanaat hain
ous ka pura wojud is aag me jalta rahega natija zindagi se duri, afsurdagi, maayusi aur tabaahi wa barbaadi hai
lehaaza is surat me shaadi ke liae doa karna sahi nahi hai
pahle raabete ko khatm kare phir tamaam yaadgaari chizon ko mitaane ke baad mohkam aeraada aur 14 Maasumin (عليهم السلام) ke zariae khoda se madad talab kare taake is mushkil se najaat mile
yaqinan khoda madad karega
Note :
university, sadak aur Facebook waghairah ke zariae aashnaaei ke baad pasand ki shaadi (love marriage) mo'aashare me kaamyaab nahi hai naakaam hai, aiysi shaadiyan chand saal se zeyadah mud'dat par mohit nahi hotin, oun ki aksariyat ka anjaam jhaghde (جھگڑے) aur talaaq par aekhtetaam pazir hota hai
iske mokhtalif asbaab hain sabko bayaan karne ka yahaan maqam nahi lehaaza sirf 3 sabaab ki taraf aeshara kiya jaa raha hai :
- shuru me shahwat se bhari jazbaati wa andhi mohabbat hoti hai shaadi ke baad isme kaafi kami aa jaati hai lehaaza yaqin ho jaata hai ke ab mujh se peyaar nahi kiya jaa raha hai, aur wo oyub nazar aane lagte hain jin par andhi mohabbat ne parda daal diya tha jhuti mohabbat nafrat me tabdil ho jaati hai iska natija jhaghda, talaaq ... hai
- khaandaan wa baap ki hemaayat haasil nahi hoti
- mo'aashare me bhi ach'chhi negaah se nahi dekha jaata
in baaton ke peshe nazar aiysi shaadi se bachna zaruri hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
21 / شعبان / 1439 ھ.ق