Sawaal az : mohtaram janaab Syed Abdul Aziz sb ( pakistan / haidarabad )
salam
agar ghusl karte huye sharam gaah par hath lag jaye to kya ghusl ke baad namaaz padh sakte hain ?
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar ghusl aysa hai jis ke baad wozu ke beghair namaaz padh sakte hain ( jayse ghusle janaabat, ghusle jum'ah ... ) to ji haan namaaz padh sakte hain
Note :
badan wa sharm gaah par haath pherna wa malna zaruri nahi hai ghusl ki niyat se shar'ei tariqe ke motaabiq saare badan par paani baha len kaafi hai albatta ghusl karte waqt paani pahunchaane ke liae badan ki khaal wa sharm gaah par haath pherne wa malne me koei haraj nahi hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko zarur padh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / ربيع الثانى / 1443ھ.ق
No comments:
Comment