sawaal az : Mohtaram janaab Samar Rizvi sb (Allahabad)
Salam
Samar Rizvi
Allahabad
Mera sawaal hai ki kya happy diwali, holi, christmas etc bolna ghair musalmaan ko kaisa hai aur bahot se musalman ko maine dekha hai wo diwali manaate h pataka jalana aur apne ghar me diya lagana kaisa hai jaez hai ya haram......
Jawab ka talabgaar
Shukriya
Wassalam
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar oun ke deen ki tarwij ya baatil wa ghalat aqaa'aed ki taa'eid na ho to haraj nahi hai, jaa'aez hai
Note :
qur'aan karim ki aayaat, sirate Rasule Maqbul aur Maasum Imaamon (صلوات الله عليهم) se manqul hadison ke peshe nazar ghair muslim se ta'alluqaat rakhna, oun ke saath ach'chha bartaao karna aur hamdardi wa gham'khaari me koei haraj nahi hai jaa'aez hai
balke baaz maqaamaat par zaruri hai
mokhtalif mushkelaat ... aur bohraan se nikalne ke liae ghair muslim ke saath mosaalamat aamez zindagi guzaarna aur nek soluk waqt ki aham zarurat hai
is se aek faa'aedah ye bhi hoga ke wo islaam aur musalmaanon ke husne akhlaaq se mota'assir hon ge aur aapsi faasela kam hoga
ghair muslim se dosti, ach'chha bartaao karna aur ta'alluqaat rakhna ous surat me mamnu (ممنوع) hai jab musalmaan oun ke saath haalate jang me hon wo islaam wa musalmaano ke dushman hon
behtar hai is ke mota'alliq surah mumtahena aayat 8 - 9 dekh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
2 / ربيع الاول / 1441ھ.ق
No comments:
Comment