Na'ae shaadi shodah jode ko kin alfaaz me doa deni cha'hiae ? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Friday, November 26, 2021

Na'ae shaadi shodah jode ko kin alfaaz me doa deni cha'hiae ?

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحيم
يا صاحب الزمان ادركنا


Na'ae shaadi shodah jode ko kin alfaaz me doa deni cha'hiae ?


Aaj'kal shaadiyon ka mausam hai taqriban rozaana shaadiyan ho rahi hain, kisi bhi shaadi shuda jode ko ach'chhi zindagi ki shoru'aat ke liae chand kaam karna bahot zaruri hai, oun me se aek ye hai ke dono ko doa deni chaahiae.


Lekin sawaal ye hai ke dulha aur dulhan ko kin alfaaz me doa deni chaahiae ?


Jo doaa'aen Noore Khoda Maasumin (صلوات الله عليهم) se waarid huei hain oun hi doaa'on ke alfaaz ko eistemaal kiya jaa'ae to bahot zeyaadah moas'sir aur behtar hai is liae ke Maasum ki zabaane mobaarak se nikle huae jumlon ki jo khubsurati aur taasir wa nuraaniyat hai wo kisi aur jumle wa alfaaz me nahi ho sakti.


Aek mokhtasar aur baa'asar doa tamaam momenin ki khidmat me pesh karne ki sa'aadat haasil kar raha hun


Jab Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ka aqd Janaabe Zahra (سلام الله عليها) se ho gaya to Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya ab tum dono apne ghar jaao


Rokhsati ke waqt aap ne kaa'aenaat ke aiyse be'nazir, laa'jawaab aur aasmaani dulha aur dulhan ke liae is tarah doa farmaa'ei :


" جَمَعَ اللهُ بَينَكُمَا ، وَ بَارَكَ فِی نَسلِكُمَا، وَ اَصلَحَ بَالَكُمَا "


Jama'allaho baynakoma, wa baaraka fi naslekoma, wa aslaha baalakoma


Is ka matlab ye hai :


"tum dono ko Allah jamaa wa aekath'tha rakhe, aur tum dono ki nasl me barkat ataa kare, aur tum dono ke haal ki eislaah farmaa'ae (yaani dono ka haal san'waar de, dono ki aaqebat ba'khair kare)"


(bahaarul anwaar jid 43 p 122 matbuah mo'as'sasah wafa)

Ye doa nehaayat jaame, kaafi aur waafi hai


Is me baa'hami ta'alloqaat wa ittefaaq, aapas me mehrbaan rahne, aulaad wa naslon me barkat aur aaqebat ba'khair hone ki darkhaast ki gaei hai


Dulha aur dulhan ke baap maa, buzurg aur bade wa chhote sabhi, nekaah ke baad khosusan jab dulhan apni susraal jaane lage to dulha aur dulhan ki sa'aadat aur khush'bakhti ke liae ye doa padh sakte hain


Albatta waaledain ki doaa'aen aulaad ke haq me jald qabul ho jaati hain


Syed Shamshad Ali Katokhari

Khaadim-e-edaara-e-darul itrat moqim Qumul Moqaddasa / Iran


20 / rabi'ous'saani / 1443 H.Q

Subscribe us on youtube


Transliterated from Urdu to Roman Urdu by Syed Mohammad Tabish.


Recommendation


  1. sohaag raat ki ahamiyat | aadaab | namaaz | doa

  2. shaadi ke baad naei dulhan aek hafte tak keya chiz na khaae ?

  3. Farzand hone ke liae doa

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen