Saudia me pesha'war driver ke liae namaaz aur oumre ka hukm - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Thursday, November 18, 2021

Saudia me pesha'war driver ke liae namaaz aur oumre ka hukm

Sawaal az : +96655 ....


Salamun alaikum wrb
Mera no. Zahir na kare.
Ho sake to mujh ko personal hi jawaab de de


Sawal ye hai ke me Saudi Arabia me hu aur me apni private gadi se Mushwar karta hu pesanger ko kiraye se le ke Makkah Jeddh aur dusri jagho par le ke jata hu Zayadatar Makkah Umrah ke liye le kar jata hu Taif se mahine me 3 ya 4 martaba to jana hota hi hai kabhi kabhi


  1. Kya mujh par har jagh namaz puri hogi ya nahi

  2. Aur mujh ko Umrah karna hoga ya nahi

  3. Kitne waqt me mujh par Umrah karna zaruri ho jayega

Taqleed // Aayatullah Sistani sahab hfz


Aapka shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. agar mahine me kam az kam 10 roz safar me hon to har jagah aap ki namaaz puri hai, qasr nahi hai aur agar 10 roz se kam safar me hon to sirf aap ke peshe wa kaam waale safar me namaaz puri hai (kisi dusre kaam ke liae safar me namaaz qasr hai)

  2. har arabi mahine (hijri qamari, jayse moharram, safar ...) me aek martabah zarur anjaam den

  3. No 2 me waazeh ho gaya

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


12 / ربيع الثانى / 1443 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen