Sawaal az : mohtaram janaab Ali sb (Patna)
Salamun Alykm.
Mai Ali, Patna se.
Mera sawal ye hai ki mai apni shadi ke liye savings kar raha hu aur uss raqm ko FD karne wala hu.
FD 3 saal ki hogi aur uske baad wo raqm shadi mein istemal ho jayegi.
To kya jab FD se raqm nikali jayegi to uspr khums wajib hai shadi hone se pahle ?
Ya shadi ho jane ke baad jo raqm bach jayegi uss par khums wajib hai ?
Marja : Ayatullah Makarem Shirazi
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar ous Fd aur ous se haasil shudah faa'aede par khums ka saal guzar jaa'ae to zaruri hai ke oun ka khums den lekin is surat me ke khums dene ke sabab zahmat me pad jaa'aen to aap ke marja ne aap ko aejaazat di hai ke oun ka khums apne zim'mah le len aur jab bhi de sakte hain de den
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
27 / ربيع الاول / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment