Sawaal az : mohtaram janaab Syed ... sb (Delhi)
Salamun alekum
Mera Sawal ye hai ke 72 alam (72 Shaheed ki yaad me) patna me pichle 3-4 saalo se nikal raha hai. Jabke alam rasoole khuda ne Maula ali a.s ko di thi aur maula ali a.s se chote hazrat ko mili aur ab humare imam ka zahoor hoga to alam leke ayenge. Bus mai apne ilm me izafa ke liye sawal kar rha hoon ke 72 alam nikalna thik hai?? naam disclose nahi karna hai . Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Shar'ei hukm :
Shar'an koei haraj nahi hai balke shohadaa'ae karbala (سلام الله علیهم) ke saath mohabbat, ta'alluq aur huzn-o-andoh ke izhaar ka qasd ho aur oun ke maqaasid wa yaad ko taaza rakhne ke liae ho to sa'aadat wa baa'aes-e-ajr-o-sawaab hai, ba'sharte ke niyat dorust wa sahih ho, logon ko dekhaane wa shohrat ke liae aur dusron ki naq'qaali me na ho, masalan folaan shakhs ya anjoman ... bahattar taabut ka jolus nikaalti hai to oun ki dekha dekhi ham 72 alam nikaalen
Agar koei shakhs azim aebaadat namaaz, is liae padh raha hai taake log mujhe nek aur mut'taqi ... samjhen zaahir hai wo saari namaazen be faa'aedah hain aiysi namaaz na sirf ye ke baatil hai balke padhne se sawaab ke bajaa'ae oulta gunaah hoga
taqriban yahi mo'aamalah bahattar taabut aur bahattar alam nikaalne ka hai
Mashwarah aur nasihat :
Behtar hai ke aiyse maraasim ka aehtemaam wa aen'aeqaad na kiya jaa'ae jiski is se pahle shion ke darmeyaan koei misaal wa nazir nahi milti keyon ke is qism ke maraasim, asli maraasim ki raunaq kam hone ya be'raunaq hone ka baa'aes wa sabab hon ge
Dusre ye ke ghair shar'ei aur naa monaasib aiysi rasmen raa'aej hon gi jo azaa'daaron ke mazaaq wa tamas'khur ka baa'aes banen gi jaiyse ghadon (گهڑوں) ka maatam, pat'tharon ka maatam aur gili mitti ka maatam ...
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
16 / ربیع الثانی / 1443 ھ.ق
No comments:
Comment